Pregnancy ke dauran Ultrasound ke baare mein jankaari.
Pregnancy ke dauran time time par kai tests aur followup checkup karwane padte hain. Jo maa aur garbh mein pal rahe bacche ke health ke baare mein janane ke liye kiye jate hain. Inhi test mein se ek test Ultrasound ya scan hota hain jo female ko delivery karne se pahle kiya jata hain. Is test se bhroon mein palne wale bacche ko kisi bhi tarah ki problem ya asamaanta ka pata lagaya ja sakta hain.
Saath hi bacche ki development ko bhi dekha ja sakta hain. Puri garbhavshta ke dauran maximum 4 baar ultrasound karwaya ja sakta hain. Is test mein pet mein palne wale bacche ko ek screen ke jariye dekha jata hain. Lekin current time mein ultrasound ka galat istemal bhi kiya jata hain. Ultrasound ko jyada karne se bacche ko problem bhi ho sakti hain.
Pregnancy ke dauran Ultrasound ki importance :-
Garbhavstha ke dauran ultrasound test bhroon mein palne wale bachhe ki sehat aur uski situation ke baare mein saaf saaf jankaari deta hain. Pregnancy ke dauran neeche likhe gye Ultrasound aur scans karwane chahiye.
Viability Scan :- Is tarah ke scan ko 6 se 10 hafte ke pregnant woman ko karwana chahiye, isse bacche ke dil ki dhadkan, garbh mein bacche ki ginti aadi ka pata chalta hain.
NT scan (nuchal translucency scan) :- Is scan ko garbhavastha ke 12 vein hafte mein kiya jata hain. Isme bacche ke vikas aur usay hone wali problems ka pata chalta hain. Ise karne se prasav karne ka tarika bhi pata lag jata hain. Agar bacche ki stithi sahi nahi hoti toh operation aadi karne ke baare mein bhi doctor andaazan bata sakte hain.
Anomaly scan :- Is tarah ke scan pregnancy ke 18th aur 20th week mein kiye jaate hain. Ise karne se bhroon ki sharir mein stithi, naal ki stithi ka pata chal jati hain. Ise karne se ek idea lag jata hain ki bacche ka dimaag, chehra, reedh ki haddi, pet, kidney aadi ka vikas kis tarah se ho raha hain. Aisa karne se Amniotic flood diye jane ki matra ka bhi pata chalta hain aur bacche ke vikas ki sahi situation ka pata chalta hain.
Fetal echocardiography :- Is test ko karne se bhroon ke dil ki dhadakan ka sahi pata chal jata hain. Ise pregnancy ke 20 vein aur 22 vein hafte mein kiya jata hain. Agar garbh mein pal rahe bacche ke heart-rate ko lekar kuch aashanka hoti hain toh yeh test kiya jata hain.
Fetal well-being :- Is scan ko 28 se 39 vein hafte mein kiya jata hain. Isse bacche ki sahi situation ka pata lagaya jata hain.
Grabhavstha ke dauran Ultrasound scan ko kaise kiya jata hain ?
Grabhavstha ke sabhi periods mein ultrasound ke alag-alag scan ki jaroorat ke anusaar doctor karte hain. Lekin shuruvaati mahine mein Transvaginal ultrasound ki jaroorat padti hain.
Transabdominal ultrasound :- Is tarah ke ultrasound mein sonologist pet par gel ki tarah ka substance laga dete hain aur haath se chalaye jane wale transducer ko pet par firaate hain aur bhroon ki stithi ka pata lagate hain. Isse bacche ki gatisheelta ka bhi pata chalta hain. Is prikshan ke dauran garbhavati mahila bhi bacche ko screen ya monitor par asaani se lete-lete dekh sakti hain. Is tarah ki sonography safe hoti hain aur isse mahila ko jyada preshani bhi nahi hoti hain.
Transvaginal Ultrasound :- Is tarah ke ultrasound mein sonologist vagina (Yoni) mein ek patla sa transducer ghoosa dete hain. Is par condom laga kar ghusaaya jata hain taki yeh asaani se ander chala jaye. Isse takhleef nahi hoti hain aur ander ka view saaf dikhaayi deta hain.
Sonography (ultrasound) ke liye kaise taiyaar ho :-
1) Halke aur dheele kapde pahne taaki pet asaani se khola ja sake aur pura test asaani se kiya ja sake.
2) Prayapt matra mein paani piye , Isse uterus bahar ki aor nikal aata hain aur bhroon ka accha view dikhaayi padta hain.
3) Transvaginal Ultrasound ke liye aap apne doctor se khul kar baat kare aur reserve karwaye. Aapne aapko relax rakhe, apni lower body ko relax rakhe, ho sakta hain thoda sa dard ho, lekin bardaasht kare. Gahri saans le, himmat rakhe aur jyada dard hone par doctor ko bataye.
Post a Comment