Chameli ke fayde (Benefits of Jasmine in Hindi).
Chameli ek khusboodaar phool hain jise English mein Jasmine flower kaha jata hain. Aamtaur par chameli ko gharo, bageecho aadi mein asaani se dekha ja sakta hain, jiski khusboo se mann khush ho jata hain.
Chameli ke phool, patte aur jad teeno ko bhi aushdhiy kaamo ke liye istemal kiya jata hain.
Iske phool se tel aur scent aadi banaye jate hain. Chameli ke patte hare aur phool safed rang ke hote hain, Lekin kanhi kanhi par peele rang wali chameli ki bele bhi payi jati hain.
Iska swaad teekha aur sugandhit hota hain. Chameli ka tel aur scent ek business product hain, jo chameli ke phoolo se banaya jata hain. Chameli ka ras peene se vaat aur cough mein kafi aaram milta hain. Yeh sharir ko chust-durust aur mann ko khush rakhti hain.
Chameli ke phool jaha khusboo dete hain, Vahi inhe kai saari bimariyo mein upyogi mana gya hain. Ayurveda ke anusaar Chameli swaad mein kadwi aur kasaili, Pachne mein halki, taseer mein garm aur cough aur pitt ka nashak hoti hain. Aaiye jante hain Chameli ke fayde (Benefits of Jasmine) ke baare mein :-
• Masoodho mein dar hone par chameli ke patto ka kadha bana kar garara karne se dard khatm ho jata hain.
• Bawaseer hone par Chameli, Bargad aur Giloy ke patto ko pees kar Sonth, Sendha Namak aur Chhach ke saath peene se labh hota hain.
• Aankho mein dard hone par Chameli ke phoolo ka lep lagaye, labh hoga.
• Periods ki problems hone par chameli ke 10 gram patto ko pees kar peene se samsya door hoti hain.
• Chameli ke patto ko mooh mein rakh kar paan ki tarah chabaane se mooh ke chhale, ghaav aadi mein rahat milti hain.
• Chameli ke phoolo ki dandi aur mishri ko barabar matra mein mila kar aankho par lagane se thakaan door hoti hain.
• Ulti hone par 10 Gram Safed chameli ke patto ka ras ko 2 gram Kali Mirch ke powder mein mila kar chaatne se ulti aana band ho jata hain.
• Chameli ke patto ko pees kar peene se pet ke keede khatm ho jate hain.
• Pairo mein biwaai hone par chameli ke patto ka ras phati aidiyo mein lagane se biwaai theek ho jati hain.
• Chehre par niyamit roop se chameli ke phoolo ka ras lagane se chehre ki chamak badhti hain.
• Chameli ke phoolo ko pees kar lep bana kar lagane se daad, khaaj-khujali jaise charm rog mein aaram milta hain.
• Purana seerdard hone par chameli ke phoolo ka lep seer par lagane se seerdard mein aaraam milta hain.
Saavdhaaniya :-
Aam taur par Chameli ko jyadatar logo ke upyog ke liye safe mana jata hain. Lekin , Kuch logo ko isse allergy bhi ho sakti hain.
Pregnancy aur doodh pilaane wali maaon ko chameli ki thodi matra mein sewan karna safe mana jata hain, Lekin dawaa ke roop mein iska sewan karne se pahle kisi doctor ki salah lena jaroori hota hain.

Post a Comment