Header Ads

Ashwagandha ke fayde aur nuksaan.

ashwagandha benefits and side effects.
Ashwagandha ek chamatakaari guno wali aushidhi hain, jo sharir ko kai saare fayde pahuchati hain. Yeh dimaag aur sharir ko healthy rakhti hain. Agar  iski sahi matra mein sewan kiya jaye toh isse kaamukta badhti hain aur yeh jawani badhaati hain. Ayurveda mein ashwagandha ka visesh mahtav hain, ise Bharat ka Indian Ginseng bhi kaha jata hain. Iski jado ka istemal kai tarah ki dawaaon ko banane mein kiya jata hain. Kai baar  iska istemal shaktivardhak dawaaon ko banane  ke liye  bhi kiya jata hain.

Ayurveda se lekar traditional vaidhya aur aadiwasi herbal jaankar, Ashwagandha ko sex se related problems se nijaat  dilaane wali sabse best herbal medicine  maante  hain. Halaki Korea, China aur  Bhutan jaise  desho mein paya jane  wala ginseng naam ke paudhe ko sex problems ke liye duniya ka No.1 herbal medicine mana jata hain, Lekin Indian herbal experts ki maani jaye toh Ashwagandha jise Indian Ginseng kaha jata  hain, ka koi jawaab nahi hain. Jane-anjaane  mein ashawagandh ko nakaara  gya. Jiske natizajan North Asia ke Ginseng paudhe ne bazaar mein ashwagandha ki jagaha le li, Khair chhodiye is baat ko aaj hum Ashwagandha ke  baare  mein baat karenge.

Duniya mein logo ko sex se related problem sabse jyada hoti hain. Mana jata hain ki sex problems mein Ashwagandha ramban dawaa ki tarah kaam karta hain. Isme aise gun hote hain jo sharir ko energy aur power dete hain, jisse vyakti ki yaun shakti ka vikas hota hain aur uski problems door ho jati hain.  Ashwagandha ke  fayde (Benefits) yeh hain ;-

• Ashwagandha ke sewan se fertility badhti hain. Isse sperm count badhta hain aur virya bhi acchi matra mein banta hain.

• Ashwagandha sharir ko josh deta hain, jisse sharir mein susti  nahi rahti aur sex karte samay thakaan bhi nahi aati hain. Jin logo ko sex  ke  dauran thakaan hone  lagti hain, unhe  ashwagandh ke sewan se  kafi  labh milta hain.

• Ashwagandha mein  jawani barkarar  rakhne  ki shakti  hoti hain. Yeh body ki immunity  ko badhaati hain.

• Is herb mein Blood  pressure  normal rakhne  ki  kabliyat hoti hain. Ise khane se tension  bhi kam hota  hain.

• Is aushidhi mein  diabetes  ko kam karne wale  aur  cholesterol  ko ghataane  ki capacity hoti hain.

• Ashwagandha  khane  se  gathiya ka dard door  hota hain.

• Isme pet saaf  karne wala gun hota hain, Jisse pachan kriya  durust  hoti hain.

• Agar  kisi ko neend  nahi aati  ho toh Ashwagandha ka sewan  karne  se  yeh  problem  khatm  ho jati hain.

• Jin mahilaon ko yoni se hamesha chipchipa padarth nikalta  rahta hain, Agar  veh  Ashwagandha  ka sewan  kare  toh  unhe bahut aaraam milta hain.

• Ashwagandha khane se  tanaav aur depression se mukti milti hain.

• T.B. ki bimari hone par  Ashwagandha ka sewan  faydemand  hota hain.

• Iske sewan se sharir mein iron ki matra badhti hain aur  khoon badhta hain.

• Mahilaon mein iske sewan se  fertility  badhti  hain.

Kai bimariyo ka safal ilaj Ashwagandha  se  hota hain aur Ayurveda mein ashwagandha se  kai tarah  ki dawaaiyan bhi banaai jati hain, jo skin, thyroid, sharir ka dubla pan jaisi bimariyo  ko jad se theek karta hain.

Lekin Ashwagandha  ka jyada  istemal se  nuksaan (Side-effects) bhi ho sakte  hain, Aakhir Ashwagandh ke kya-kya nuksaan (side-effects) hote hain aaiye jante hain :-

 • Ashwagandha ke  jyada  sewan  se  pet se  related  dikkate  honi shuru  ho jati hain. Isse pet mein jyada gas  banna, dast lagna, ulti  aane jaisi problems paida hoti hain. Yahi nahi Ashwagandha aanto ko bhi nuksaan pahuchata hain. Isliye iska sewan jyada nahi karna chahiye.

• Iske sewan se insaan ko jyada neend aane lagti hain aur jyada waqt tak Ashwagandha khate rahne se phir  insaan ko neend aana band  ho jati hain jo sehat ke liye  khatarnaak  saabit hota  hain. Jab bhi aap Ashwagandha ka sewan kare kisi doctor se consult jaroor  kare.

• Ashwagandha ka sabse  bada side-effect yeh hain ki yeh sharir par kisi aur dawa ke asar ko khatm kar  deta hain. Agar aap ashwagandha ka lambe  waqt tak istemal karte  hain toh yeh aapke sharir  par  dusre  dawaaiya lagne  nahi deta hain, Jis wajah se rogi bimaar hone lagta hain, isliye  doctor se  poochh kar hi koi dawaai le.

• Jo log Ashwagandha ka jyada istemal karte  hain unke  sharir  mein  changes aane  lagte  hain Jaise body ka temperature  badhne lagta hain jiski wajah se bukhaar tak aane lagta hain, Agar aapka temperature  badhne  lage  toh iska sewan turant band kar  de nahi toh preshani aur bhi jyada  badh jayegi, saath hi apne doctor se  iss baare mein baat kare.

• Jo log Arthritis , Sugar aur gathiya jaise bimariyo se bachne ke liye  Ashwagandha ka istemal karte hain, Unhe  bhi iska sewan bahut jyada nahi karna chahiye. Ulcer ke rogi, Gas ki problems se preshaan  rogi aur pregnant woman ko toh ashwagandha ka sewan bilkul bhi nahi karna chahiye.

Ashwagandha Jitna sharir ke  liye  faydemand  hain, utna hi yeh  sharir ke  liye  nuksaan bhi pahuchata hain. Aapko doctor ki salah par hi Ashwagandha ka sewan karna chahiye.