Header Ads

Garmiyo mein Vitamin C wale food kyon khane chahiye.

Garmiyo mein Vitamin C wale food kyon khane chahiye. Kya aapne socha hain ki garmiyo ke mausam mein Vitamin C wale food kyon khane chahiye? Garmiyo ka mausam kafi hot hota hain Jis wajah se suraj ki garam kirane hamari body ko kai tarah se prabhavit karti hain. Isliye aapke sharir ko garmi se suraksha chahiye.

Tez suraj ki garmi aapke sharir aur tavcha ko buri tarah se jhulsa deti hain, jis wajah se usay bachaana bahut hi jaroori hain. Sharir par sunscreen lagane aur mooh par kapda dhakne ke alawa sharir ko androoni suraksha dene ki bhi jaroorat hain. Isliye jaroori hain ki aap dher saare Vitamin C wale aahaar ka sewan kare.


Vitamin C aapke body ko suraj ki tez UV rays aur garmi se bachayega. Aapko vitamin C har tarah ke khatte phalo mein jaise Orange, Amrood, Mosambi, Nimbu aadi mein asaani se mil jata hain. Aaiye jante hain ki garmiyo mein vitamin C waale food khane se kya kya fayde hote hain. (Benefits of taking vitamin C food in Summer in Hindi/Urdu.)

• Garm mausam se bachaye :- Vitamin C jyada garmi mein hamare sharir ke temperature ko sahi bananye rakhne mein madad karta hain. Jaise jaise temperature badhta jata hain, vaise-vaise aapke sharir ko bhi dhalne ki jaroorat padti hain. Aap ka sharir taapman ke hisaab se jitna jaldi dhal jaye utna hi yeh uske liye accha hota hain, Isliye Vitamin C ka upyog garmiyo mein jaroor kare.

Antioxidants :- Vitamin C mein kafi matra mein Antioxidants hote hain. Free Radicals se bachne ke liye aapke sharir ko Anti-Oxidants ki jaroorat padti hain. Aap ki skin Suraj ki tez kirano aur pollution se khud ko bacha sakti hain, agar aap Vitamin C ki bharpoor matra ka sewan karte hain.


• Skin ke liye :- Agar aap chamakdaar aur healthy skin paana chahte hain toh Vitamin C ka sewan kare.

• Sun Burn :- Kai logo ko nahi pata ki sun burn skin ko kitna nuksaan pahucha sakta hain. Isse cancer hone ka bhi khatra rahta hain. Lekin Vitamin C ke jyada sewan se aap is cheez ko taal sakte hain. 


• Kai rogo ka ilaj :- Vitamin C mein garmi aur isse hone wale kai rogo ka ilaj chhipa hain. Isliye Vitamin C ka sewan garmiyo mein jaroor karna chahiye. Raseele aur khatte phal Vitamin C ka bahut accha source mane jate hain, Isliye Vitamin C wale fruits aur sabziyo ko garmiyo mein jaroor khaye.

• Collagen ka production :- Sharir ko Vitamin C ki jaroorat padti hain, Kyonki yeh Collagen ka production karti hain. Collagen ek tarah ka protein hota hain jo skin mein lacheelapan lata hain aur skin ko smooth banata hain.