Traffic Light se jude kuch interesting facts.
Traffic light hamare jeevan ka ek ahem hissa hain. Aaj ke zamane mein inke bina traffic ko control karna kafi mushkil bhara kaam hain. Aaj ki post mein hum traffic light se jude kuch interesting fact aur general knowledge janenge.
Rango ki pahchaan hain jaroori :-
Aaj traffic light 3 rango mein kaam karti hain. Kai dashko se lal, peeli aur hair lights hamare shaharo ke yatayat ko sambhaalti aa rahi hain. Aise mein hum sabko rango ke is code ki jaankari hona behad jaroori hain. Jisme saaf hain ki lal batti ka matlab hain ki rookne ka sanket diya ja raha hain. Peeli light hame wait karne ka ishara karti hain, Iske saath hi hari light jane ke liye indicate karti hain.
Pahli traffic light lagayi gyi :-
Traffic light ka aavishkaar 1912 mein ek police office Lester Wire ne America ke shahar Cleveland mein shuru kiya tha. Iske baad vaha par 5 August 1914 ko traffic light lagayi gyi. Tab se lekar aaj tak traffic light sadako ke saath hamare jeevan ko bhi roshan karti aa rahi hain. Halaki waqt aur technology ke saath saath iska roop bhi badalta ja raha hain.
Peeli light ka aavishkaar 1940 mein :-
Aaj mukhya roop se 3 traffic lights ka istemal hota hain. Jisme green, red aur yellow lights shamil hain. Lekin Traffic light jab shuru huyi thi, Oos samay 2 hi lights thi. Police officer rahe traffic lights ke inventor Lester ne jab light ka aavishkaar kiya tab shuruvati daur mein peeli traffic light thi hi nahi, Is light ka aavishkaar 1940 mein hua. Sabse khas baat toh yeh hain ki is light ke aane se kai bade changes huye. Is dauran traffic light ke jariye hi sadako ki bheedh ko control karne par bhi unki team ne gahan manthan kiya.
1990 mein ek bada badlaav :-
Iske baad 1990 mein ek aur bada badlaav aaya. Ab ise sadak par chalne ke liye logo ko jagrook karne ki disha mein prayaas hua. Ise ek ghadi ki tarah chalaya gya. Jisse raaste mein hone wali accidents par thoda kaaboo paya ja sake. Is dauraan 1996 mein ise sabse pahle Hampton aur Virginia mein lagaya gaya. Jisse accidents mein kafi kami payi gyi. Iske baad dheere-dheere kai desho ne ise apna liya. Jise aaj yeh traffic lights kai shaandaar functions ke saath kaam kar rahi hain.
Traffic light banane ka idea England ki den :-
England mein pahli baar 1868 mein Traffic light ka aavishkaar kiya gya tha, Lekin is dauran ek police officer ki maut ho jane par ise banane ka khyaal chhod dena pada. Oos samay huye research ka idea bhi kafi original tha. Oos samay vaha Ghodagadhi, Maal dhone wale rehdo aur paidal chalne wale musaafiro ka traffic control karna hota tha. Is dauraan is project par kafi secret taur se kaam chal raha tha. Iske baad yeh project leak ho gya aur jo police officer ise bana raha tha, Uska murder ho gya. Iske baad yeh project band ho gya. Phir uske baad England ne 1926 mein America ki banayi hui traffic lights ka istemal kiya.
Post a Comment