Header Ads

Kaun se shoes hain aapke liye sahi ?

Kaun se shoes hain aapke liye sahi ?

Hum aksar jitna apne kapdo par dhyaan dete hain, utna apne pairo ke jooton ya chappal par dhyaan nahi dete hain, Agar aapne galat shoes pahne ho toh yeh aapki jaan tak le sakta hain. Aaiye jante hain ki kis umar ke liye kaisa shoes hain sahi. 


Chote baccho ke liye :- Jyadatar bacche tight shoes pahante hain aur jyadatar parents ka dhyaan bhi is par nahi jata hain. Kyonki jitna anumaan hota hain, baccho ke pair usse jyada tezi ke saath badhte hain. Time to time shoes ko change karte rahna jaroori hain.

Yahan tak ki bacche bhi khel-kood mein lage rahte hain aur khud ke shoes ke chote hone ka ahsaas nahi karte hain. Experts ki mane to har 6 mahine nahi toh jyada se jyada 1 saal baad baccho ko naye shoes lekar dene chahiye. Halaki bacche kabhi kabhi nange pair bhi khel sakte hain, isse unko koi nuksan nahi hoga.

High Heel hain problem ki wajah :- Jaise jaise umar badhti chali jati hain, jooton ka sahi hona bahut hi jaroori hain. Jyadatar ladies high heel sandals pahanana pasand karti hain, lekin yeh reedh ki haddi ke liye bahut hi nuksaandeh hoti hain. Kai mamlo mein dekha gya hain ki jo ladies har time high heel pahan kar rakhti hain, unki haddiyo ke dhaanche mein kuch is tarah ke changes aate hain ki agar veh nange pair aur bina heel ki chappal pahne toh unko pairo aur kamar mein dard hone lagta hain.

Old age mein chappal :- Budhe logo ko sabse jyada khatra ghar mein pahne jane wali rubber ki chappal se hota hain. Chot lagne ki wajah se hospital mein admit huye old age persons par huye ek research mein paya gya hi jyadatar log ghar ke bathroom ya phir seedhiyo se phisal gye thay, kyonki unhone chappal pahan rakhi thi.

Choti edi ke jootey :- Doctors ka kahna hai ki budhaape mein sahi jootey pahan kar rakhna jaroori hain. Ek baar phisalne par haddiya toot sakti hain, jise is umar mein jodna namumkin bhi ho sakta hain. Isliye sahi fit wale halki edi ke shoes pahan kar rakhne chahiye.

Moja pahne ya nahi :- halaki experts youth aur khas karke ladies ko ghar mein zuraab pahan kar ghoomne ki salah dete hain, taki pairo ko fashion wale shoes se aaram mil sake, lekin jyada umar ke logo ko juraab mein na ghoomne ki salah di jati hain kyonki isse fisalne ka khatra hota hain.