Header Ads

Kele ke phool ke fayde (Benefits of Banana Flower in Hindi).

Kela ke phool ke fayde (Benefits of  Banana flower)Kela hamare swasth ke liye bahut hi faydemand hota hain. Kele ka ped duniya ka aisa ped hain, jiske har hisso ko kisi na kisi roop mein kaam mein laya ja sakta hain. Phool, phal aur tana ko aap kha sakte hain. Iske patto par aap  khana kha sakte hain aur iski chhal se kagaz banaye jate hain. Kele ke  ped mein  lakdi  nahi hoti hain lekin  yeh kisi bhi dusre  pedo ke mukable  kam nahi hain. Iske  ped ke tane  se  gatte aur paper  aadi banaye  jate  hain.

Kele  ka phool (Banana Flower) Kele  ke phal ka shuruvaati charan hota hain. Kele ka phool mein dher saara Fiber, Protein, Magnesium, Potassium, Calcium, Copper,  Phosphorus, Iron aur Vitamin E mauzood hota hain. Kela ke phool ko khane se  kya kya fayde  hote  hain aaiye  jante  hain. (Benefits of  Eating  Banana Flower in Hindi.)

Kela ka phool (Kele ke  phool, banana's flower) ke fayde :- 




Period ki bleeding control karke PCOS ko theek karta hain :- 

Ayurveda ke anusaar, ek cup kele ke  phool ko dahi mein paka kar khane se sharir mein  progesterone level badhta hain aur periods ke  dauran jyada khoon nahi bahta hain. Mana jaata hain ki kele  ke phoolo se Polycystic Ovary Syndrome (PCOS) se joojhe rahi mahilaon ko madad milti hain. 



Doodh pilaane wali maaon ka doodh badhaata hain :- 

Ayurveda ka sujhaav hain ki stanpaan karwane  wali mahilaon ko Kele ke phool khane chahiye, Isse unme  jyada  doodh  banta hain. Yeh doodh pilaane  wali maaon ka doodh badhaane  mein  unki madad  karta hain. 



Sugar ke mareez ke liye  faydemand :- 

Yeh sugar ke  patients  ke  liye  bahut hi  faydemand  mana gaya hain. Ek research mein yeh paya gya ki iske sewan se sugar  ka level kam  kiya ja sakta  hain, halaki yeh abhi tak clinical tested  nahi hain. 



Yeh pachan kriya ko durust karta hain :- 

Kele ka phool khane mein bahut hi halka hota hain aur pachan tantra ko aaram deta hain. Agar pet mein dard ho ya acidity ki wajah se sujan ho jaye toh Kele ke phoon ko khane se yeh door ho jati hain. 





Mood ko happy bananta hain :- 


Kele  ke phool mein Magnesium bharpoor  matra mein  paya jata hain, Jisse yeh  aapke mood  ko sahi karta hain aur aapke stress ke level ko kam karta hain. Isliye  yeh  depression aur tension aadi  ko  door  karne mein bahut faydemand mana jata hain. 





Khoon ki kami ko door karta  hain :- 


Banana Flower mein bahut hi acchi matra mein Iron hota hain.  Kele  ke phool ke sewan se sharir ka hemoglobin badhta hain aur yeh khoon ki kami ko door karta hain aur aapko anemia aadi se bachata hain. 




Free Radicals se ladta hain :- 


Kele ke phool mein  Anti-Oxidants  bahut hi acchi matra mein paye jate  hain. Yeh  Anti-Oxidants  Free Radicals  se  ladta hain, Free  Radicals  healthy cells par hamla karke unhe damage kar dete hain, Jisse  aapko dil ki bimari, Cancer aur Skin Aging  jaisi dikkate  hone lagti hain. In phoolo mein Anti-Oxidants  mauzood hote  hain jo free  radicals  se  ladkar unhe  body  ko damage  hone  se bachate  hain. 





Infection se bachata hain :- 


Yeh phool Pathogenic bacteria ki growth ko rokta hain. Pathogenic  Bacteria veh bacteria hota hain jo hamare  sharir mein infection paida karta hain. 



To, dosto aapne  jana ki kele ka phool hamare  liye  kaise  faydemand hain, Ise khane se aapko dher  saare benefits  hote  hain. Ise aap Salad, Sabzi ya  kaccha bhi kha sakte  hain. Vaise aapko Youtube  par  iski mast recipe  asaani se mil jayegi. Toh aap bhi is anmol phool ka  fayda uthaye aur apni sehat ko badhiya banaye.