Header Ads

Paani ki kami hone par sharir aapko deta hain yeh sanket.

Paani ki kami hone par sharir deta hain yeh sanket.Paani aapke acche health ke liye bahut hi jaroori hain. Iski kami aur jyada matra sharir ke liye accha nahi hota hain. Lekin din bhar ki bhaag-daud se yeh kaise pata chale ki aapka sharir aapse paani maang raha hain? Aapka sharir aapko iske liye kuch ishaare karta hain aur kahta hain ki paani pijiye janaab, mujhe paani ki jaroorat hain. Janiye aise hi kuch lakshan jo batate hain ki aapko ab paani peena chahiye. That Sign & symptoms which told you need to drink water because your body should be dehydrate. 

Mooh aur gala sookha hona :- Sookha mooh aur gala hame sanket dete  hain ki ab hame paani peena chahiye. Yeh hame  batate hain  ki hamare sharir mein is waqt paani ki kami ho gayi hain. Ise door karne ke liye hame paani peena chahiye. Kai baar jyada medicines khane se bhi gala aur mooh sookhta hain. Isliye  aapko hamesha paani apne saath rakhna chahiye. 

Peshab  bahut  kam  aur peela aata hain :- Yeh thoda ajeeb hain, Lekin din  mein kam se kam 2 baar aap jaroor  dhyaan  de ki aapka peshab  ka  rang  kya hain. Agar  uska colour  halka  peela hain, toh theek hain. Lekin agar yeh  gahra  peela  ya bhoora hain toh aapko turant paani peene  ki jaroorat hain. 

Hamesha thakaa hua mahsoos karte hain :- Jab aap sahi quantity mein paani nahi peete hain toh aapke  sharir ka pura system slow ho jata hain aur power saving mode  mein chala jata hain. Isse aap thakaa hua aur sust  mahsoos karne lagte hain. 

Chakkar aane  lagte hain aur ghabarahat mahsoos hoti hain :- Achanak chakkar aane ki kai wajah ho sakti hain jaise  dawaaon ka asar, Neend  ki kami lekin Paani ki kami bhi ek ahem wajah ho sakti hain. 

Khane ke  baawjood bhi  bhookh lagi rahti hain :- Pyaas lagne par aapka dimaag amooman pyaas aur bhookh mein confuse ho jata hain aur aapko lagta hain ki aap bhookhe hain, Jabki aap khana kha chuke hote hain. Agar kabhi bhi aapko aisa lage, toh paani pijiye. Bhookh jaisi feeling  veh apne-aap  khatm ho jayegi. 

Acidity ho rahi hain :- Acidity ho rahi hain, khana nahi pach raha hain aur kabz  ki shikayat hain toh iska matlab hain ki aapke sharir  mein paani ki kami hain. Theek matra mein paani peene se  aapka pachan tantra durust rahta hain aur isse kabz  nahi hota hain. Isse pet ke acid bhi dilute hota hain, jisse  aapko acute acidity  ki shikayat nahi rahti. 

Muscles aur Joint mein pain hona :- Paani aapki muscles  aur  joint ko lubricant karta hain. Isliye  iski kami hone par inme dard  badhne ki sambhavna rahti hain. 

Bewajah seer mein dard hona :- Seer  dukh raha hain aur wajah  bhi samajh mein nahi aa rahi hain? Wajah hain sharir mein  paani ki kami. Agli baar is tarah  ka  seerdard ho, toh dher saara paani piye. 10 minutes tak wait kare aur kuch kha  le. Aapka  seerdard  bilkul gayab ho jayega.  

Heart  Beat tez  ho jati hain :- Dil achanak tezi ke saath dhadakta hain, yeh bhi ek  sanket hain ki aapke sharir mein  paani ki kami ho gyi hain.

Dhyaan dene mein dikkat hoti hain :- Dimaag ka 70% se  jyada  hissa paani se bana hua hain. Paani ki kami hone par dimaag slow  ho jata hain aur aap normal  cheezo  par  focus ya gaur nahi kar paate  hain. 

Saanso se badboo aanaa ;- Agar  aapke sharir mein paani ki kami lag rahi hain, toh aapka sharir  sahi matra  mein thook nahi bana pata hain. Thook aapke mooh mein khatarnaak bacteria  ko panpane se rokta hain. Iski kami hone par bacteria  paida hote hain aur mooh se badboo aane  lagti  hai.

Skin ho jati hain dry :- Agar aapki skin hamesha dry rahti hain aur honth  phate rahte hain, Jabki mausam bhi rookha nahi hain, toh iski wajah paani  ki kami ho sakti hain. Agar aapko soft aur smooth skin chahiye toh dher saara paani peene  ki aadat daaliye.