Mobile internet speed badhane ke tips.
Technology ke is era mein smartphone ka use kafi badh gya hain. Aise mein user apne smartphone mein sabse jyada internet access karte hain. Internet ek aisa platform hain jaha har query badi asani ke saath solve ho jati hain. Lekin yeh suvidha kabhi-kabhi slow internet speed ki wajah se preshani mein badal jati hain. Toh aayiye jante hain aise 8 tips jo aapke mobile internet speed ko dugna bana denge.
1) Never runs multiple Applications :- Aamtaur par yeh problem sabhi ke saath hoti hain, jab hum browsing karte hain, toh uske saath run kar rahe application ko band karna bhool jate hain. Jiske chalte internet speed slow ho jati hain. Agar kabhi bhi internet access karna chahte hain toh sabse pahle device mein run kar rahe multiple application ko band kar de, taki acchi internet speed ka fayda mil sake.
2) Disable Auto Update feature for Application :- Agar aapke smartphone mein apps ke liye automatic updation laga hain, toh turant ise disable kar de. Jab application ko update karne ki jaroorat ho tabhi iska istemal kare.
3) Text Search results :- Kisi bhi browser par agar aap sirf text search karna chahte hain toh sabse pahle image search ko block karde. Isse fast browsing mein madad milti hain. Darasal jab image search unblock hota hain toh veh text se related image ko bhi open karta hain, jisse samay lagta hain. Aise mein text searching ke dauran internet speed badhane ke liye image blocking sabse best option hain.
4) Good Network Areas :- Smartphone ya PC in sabhi devices par internet tabhi accha chalta hain, jab yeh acche networking areas mein honge. Aise mein sabse pahle aapko yeh sure kar lena chahiye ki aap jis device par internet access karna chahte hain. Veh acche networks ko detect kar sake. Ek baar network accha mil jayega, toh internet acchi tarah se run karega.
5) Avoid lots of Apps :- Phone jitna saaf-suthra rahega, utna hi accha chalega. Yani ki kabhi bhi smartphone mein apps ka storage na rakhe. Jis app ki aapko jaroorat ho usi app ko apne smartphone mein rakhe, baki faltu ke apps ko uninstall karde. Isse device ke software par kam load padega aur phone acche se aur tezi ke saath run karega.
6) Free your phone memory :- Jaisa ki aap jante hain ki traffic jam mein koi bhi gaadi speed se nahi chal sakti hain. Theek usi tarah aapka smartphone bhi hain. Agar aapke phone ki memory full hogi , toh phone ka OS slow kaam karega, jiska effect internet speed par padta hain aur veh slow ho jata hain. Aise mein smartphone users time-time par phone memory ko clear karte rahe. Isme gair-jaroori cheezo ko delete kar de.
7) Remove Web Cache and Old History :- Browser par koi bhi website search ki jati hain, toh veh history ke roop mein store hoti rahti hain. Iske baad dheere-dheere store bhar jata hain. Aise mein aap apni purani history ko remove karke refresh karde. Iske alawa web cache data ko bhi time-time par delete karte rahe. Isse internet ki speed kafi tez ho jati hain.
8) Using Opera Mini :- Smartphone ke liye sabse accha Opera Mini browser hota hain. Yeh khas taur par mobiles ke liye hi design kiya gya hain. Aise mein agar internet ka best experience chahte hain toh Opera Mini best hain.
Post a Comment