Kya bacche ko plastic ki bottle mein doodh pila sakte hain?
Pahle hum apne baccho ko sirf steel ya kaanch ki bottle mein hi doodh pilate thay. Lekin aaj kal market mein kai saare options mauzood hain. Jiski wajah se hum sochte hain ki apne bacche ko plastic ki bottle mein doodh pilaye ki kaanch ki bottle mein doodh pilaye? Lekin agar aap apne chote bacche ko plastic ki bottle mein doodh pilate hain toh aapko saavdhaan ho jana chahiye.
Plastic ki bottle chemical ke dwara banayi jati hain. Bottle mein garam doodh daalne par yeh haanikarak chemicals doodh mein mil jate hain aur bacche ko nuksaan pahuchate hain. Vaise toh glass ki bottle ke bhi nuksaan hain, Jaise ki yeh bhaari hoti hain aur zameen par gir kar toot jati hain.
Aaiye jante hain kaanch ki bottle ko istemal karne ke fayde aur nuksaan :-
Bacche ke liye plastic ki bottle acchi hain ya kaanch ki ? Toh iska jawaab hain ki plastic ki bottle mein bisphenols naam ka chemical paya jata hain jo dimaag ko kamjor banata hain aur insaan ki prajan pranaali ko bhi nuksaan pahuchaata hain. Jab aap kuch bhi garam cheez plastic ki bottle mein daalte hain toh yeh chemical oos khane mein mil kar sharir mein chala jata hain.
Kaanch ki bottle ke fayde (Benefits of Glass Bottle) :- Kaanch ki bottle mein kisi bhi tarah ka koi nuksaandeh chemical nahi paya jata hain, Inhe asaani ke saath recycle bhi kiya ja sakta hain. Kaanch ki bottle mein garam cheez daalne par yeh kisi bhi tarah ka chemical nahi chhodta hain. Ise aap acchi tarah se saaf kar sakte hain aur lambe waqt tak isme doodh garam rakha ja sakta hain.
Kaanch ki bottle ke nuksaan :- Kaanch ki bottle kuch bhaari hoti hain aur asaani se toot jati hain. Yeh plastic ki bottle se mahangi hoti hain. Inki jyada care karni padti hain. Toh aapne jana ki plastic ki bottle mein bacche ko doodh nahi pilana chahiye, Ho sake toh aap Kaanch ki bottle ka istemal kare.

Post a Comment