Rashes ki problem se hain preshan toh ajmayiye yeh gharelu nuskhe.
Rashes ki problem tight kapde pahnane, bahut jyada paseena aane aur bahut jyada chalne se jaangho mein hoti hain. Inme bahut jyada khujali hoti hain, saath hi dard bhi mahsoos hota hain. Inhe nazarandaaz karne se yeh infection phail sakta hain, jo takhleef ko aur bhi jyada badha deta hain. Rashes ki problem ladies se lekar gents sabhi mein payi jati hain, Yeh samsya kisi ko bhi ho sakti hain.
Aaj ki is post mein hum janenge ki rashes ko door karne ke liye iske gharelu nuskhe kya hain. Rashes ke ilaj ke liye kaun si tips aur upay ko apna kar hum ise khatm kar sakte hain.
Rashes ki samsya ko door karne ke liye home remedies :-
■ Chamomile tea :- Chamomile tea ka istemal karke bhi rashes se chhutkara paya ja sakta hain, saath hi isme mauzood herbs aur bhi kai tarah ki skin problems ko door karne mein madad karte hain. Androoni rashes hone par usay chamomile tea se saaf kare.
■ Comfortable underwear pahne ;- Rashes ki problem tight aur uncomfortable underwear aadi pahanne se hoti hain. Rashes hone par aap dheele aur comfortable kapde aur underwear pahne.
■ Powder :- Rashes wali jagah par kisi acche Anti-Bacterial Powder ka istemal kare. Talcum powder asaani se androoni area ke paseene ko observe kar leta hain. Koshish kare ki powder ka jyada se jyada istemal kar sake.
■ Vitamin E :- Vitamin E ke istemal se bhi rashes ki problem door ho jati hain. Vitamin E se bharpoor cheezo ko rashes wali jagah par lagaye. Rojana ek hafte tak din mein kam se 2 -3 baar iska istemal kare.
■ Aloe Vera gel :- Aloe Vera gel rashes ki problems ko door karne mein helpful hota hain. Rashes wali jagah par iski taazi pattiyo se nikla gel laga kar ise sookhne de. Jald asar ke liye din mein 2-3 baar iska istemal kare.
■ Vinegar :- Agar rashes wali jagah par infection badhta dikhaayi de raha ho toh turant oos jagah par Vinegar yani ki Sirka lagana shuru kar de. Jald asar ke liye aap Vinegar mein Shahad ki matra bhi mila sakte hain. 3-4 baar infection wali jagah par lagaye.
■ Burf (Ice) :- Burf ka cooling effect rashes ka asardaar ilaj hain. Har 2 ghante mein androoni rashes wali jagah par burf ke tukde se sikaai kare. Bahut jald fayda milta hain.

Post a Comment