Broccoli khane ke fayde (Benefits of Broccoli in Hindi.)
Broccoli abhi India mein itni jyada famous sabzi toh nahi hain, Lekin dheere-dheere yeh market aur hamare gharo mein apni jagah bana rahi hain. Phool Gobhi ki tarah dikhne wali Broccoli darasal ek hi prajati ki sabziya hain. Broccoli ke baare mein yeh kaha jata hain ki yeh guno ka khazana hain. Isme Vitamin A,C , E, Protein, Calcium, Iron, Carbohydrate aur bhi kai poshak tatv bharpoor matra mein paye jate hain.
Broccoli ko aap Soup, Salad ya sabzi kisi bhi roop mein kha sakte hain. Kuch log ise bhaap mein paka kar khana pasand karte hain. Aap broccoli ko kisi bhi tarah khaye, Lekin is baat se inkaar nahi kiya ja sakta hain ki Broccoli aapke health ke liye bahut hi acchi sabziyo se ek hain.
Toh kyon na aaj hum Broccoli khane ke fayde ko jante hain aur dekhte hain broccoli hamare health ko kaun-kaun se labh pahuchati hain. (Benefits of Broccoli in Hindi/Urdu.)
• Aankho ki liye accha hain :- Broccoli mein Vitamin A aur Beta-Carotene bahut hi acchi matra mein paye jate hain. Beta-Carotene ka sewan Motiyabind jaisi bimari se hame bachata hain. Isliye aankho ko sahi rakhne ke liye broccoli jaroor khani chahiye.
• Body ki immunity ko badhata hain :- Broccoli mein Vitamin C bharpoor matra mein payi jati hain, Vitamin C sharir ke immune system ko boost karne aur infection se bachane mein help karta hain.
• Gathiya mein faydemand :- Broccoli ko apne diet mein shamil karne se aap Arthritis (Gathiya) jaise bimari se bach sakte hain. Agar aap Gathiya ke mareez hain to aapko rojana 2 hafte tak 100 Gram Broccoli jaroor khani chahiye, Isse aapko jaroor fayda hoga.
• Dil ke liye accha ;- Broccoli mein Carotenoids Lutein paya jata hain, Yeh dil ki dhamniyo ko healthy banaye rakhta hain. Iske sewan se dil ka daura padne aur dil ki dusri bimariyo ka khatra kafi kam ho jata hain. Isme mauzood potassium cholesterol ke level ko badhne nahi deta hain.
• Wajan kam karne mein sahayak :- Broccoli mein Calorie kafi kam hoti hain. Isliye iske sewan se aapka pet toh bhara mahsoos hoga aur aap jyada nahi kha sakenge, Isliye agar aap wajan kam karne ki soch rahe hain toh aapko broccoli jaroor khani chahiye.
• Cancer se bachata hain :- Broccoli mein Anti-Oxidants kafi acchi matra mein paye jate hain. Broccoli ke sewan se cancer hone ki sambhavna kafi hud tak kam ho jati hain. Broccoli mein Phytochemicals jyada matra mein paye jate hain, Jo sharir se zehreele tatvo ko bahar nikaalne mein madad karte hain.
• Pregnancy mein iska sewan bahut hi faydemand hota hain :- Garbhvati mahilaon ko niyamit roop se broccoli ka sewan karna chahiye. Isme mauzood tatv na kewal bacche ke health aur vikas ke liye faydemand hote hain, balki maa ko bhi kai tarah ke infection se bachate hain.
• Depression se bachaye :- Folate ki kam matra hone se depression ka khatra badh jata hain. Broccoli mein Folate bharpoor matra mein payi jati hain, jo mood ko sahi banaye rakhne ke liye bahut hi jaroori tatv hain. Saath hi yeh maansik swasthya ke liye bhi jaroori hain.
• Cholesterol kam kare :- Broccoli mein Fiber, Potassium aur Chromium bahut hi acchi matra mein paye jate hain jo cholesterol level ko kam karke blood pressure ko control karte hain.
• Haddiya majboot banaye :- Broccoli mein bahut hi acchi matra mein Calcium paya jata hain. Agar aap haddiya majboot banana chahte hain toh Broccoli ka sewan kare.
• Diabetes mein faydemand ;- Broccoli blood sugar level ko control karti hain. Diabetes ke patient ko broccoli ka sewan jaroor karna chahiye.

Post a Comment