Depression door karne wale food.
Aaj kal ki bhaag-daur bhari life mein Tension, Chinta, Social problems aur Financial problems ki wajah se log depression ka shikar hote ja rahe hain. Is bimari ke kuch lakshan bhi hote hain jaise achanak se wajan badh ya kam ho jata hain, Neend nahi aati hain ya bahut jyada neend aati hain, Mann mein baar-baar suicide khyaal aana aur rojana ke kaam na kar paana. Yeh saare lakshan jinke ander paye jate hain veh sach-much mein bahut hi bure waqt se gujar rahe hote hain. Lekin aapko ghabrane ki jaroorat nahi hain. Har mushkil ka hal hota hain, aaj nahi toh kal hota hain. Isi tarah agar aap bhi depression ke shikaar ho gye hain toh yeh food apni diet mein jaroor shamil kare.
Aaj hum janenge depression ko door karne wale food kaun se hain. Depression hone par kya khana chahiye ?
Palak :- Palak bhi depression ko door bhagata hain, Kyonki isme Iron aur Magnesium hota hain jo dimaag ko shant aur pachan tantra ko majboot banata hain. Vaise bhi palak guno ki khan hain.
Green Tea :- Green tea mein Anti-Oxidants aur Amino Acid paya jata hain, Jo depression se bachata hain. Isliye oon logo ko green tea jaroor peeni chahiye jo musibto se jaldi ghabra jate hain. Green tea hamare health ke liye bahut hi faydemand mani jati hain.
Omega 3 Fatty Acid :- Agar aapko depression feel ho rahi ho toh turant apne khane mein Omega-3 Fatty Acid ki matra ko badha de. Omega-3 Fatty Acid Machhli, Akhrot aadi mein bahut hi acchi matra mein paya jata hain.
Saaboot Anaaz :- Saboot anaaz sharir ke liye faydemand hota hain. Lekin kya aapko maloom hain ki yeh depression ko door karne mein bhi faydemand hota hain. Inme Carbohydrate hota hain jo mood swings ki preshani ko rokta hain.
Nariyal :- Nariyal mein Fiber 36%, Iron 13% DV, Potassium 10%, Protein 6% DV, Vitamin C 5% hota hain. Isme powerful electrolytes hote hain jo depression se ladne mein madad karte hain.
Blueberry :- Blueberry mein Vitamin C paya jata hain. 100 gram Blueberry mein 9.7 milligram Vitamin C hota hain jo roj ke 15% ke barabar hain. Isme paya jane wala Anti-Oxidants sharir ko depression se door rakhta hain.
Badam :- Badam Magnesium ka bahut accha source hain jo depression se ladne mein help karta hain. 100 gram badam mein 238 milligram Magnesium hota hain, jo roj ki 67% Magnesium ki supply karta hain.
Tamatar :- Tamatar khane se aapka mood accha hota hain. Isme Lycopene naam ka tatv hota hain jo depression se ladne mein kargar mana gya hain.
Post a Comment