Kamar dard se nijat dilane wale gharelu nuskhe.
Kamar dard se nijat (rahat) dilane wale asaan asardaar gharelu nuskhe. (Home Remedies for Back Ache/Pain in Hindi/Urdu.)
Aaj ke is daur mein hum itna jyada busy ho gye hain ki apne liye waqt tak nahi nikaal paate hain. Din bhar mein office aur ghar ke kaamo mein hum itna zyada masroof rahte hain Ki hame isse kai tarah ki problems ka saamna karna padta hain. Inhi bimariyo mein se ek hain Kamar dard ki problem. Sardiyo ke mausam mein yeh samsya aur bhi zyada hoti hain.
Kamar dard (Back Pain) zyada samay tak baithe rahne ya phir thand mein zyada der tak paani mein rahne jaisi wajaho se ho sakta hain. Saath hi agar aapko motapa hain toh bhi yeh samsya aapko ho sakti hain, Muscles mein jyada pressure aane ki wajah se bhi ho sakta hain. Aaj ki lifestyle mein agar hum apne kai aadato ko badal de, toh is problem se hame chhutkara mil sakta hain. Saath hi aap in gharelu upay ko apna kar aap kamar dard se asaani se nijat pa sakte hain.
• Sharir mein Calcium ki matra kam hone par bhi haddiyo mein yeh problem aa sakti hain, Jisse kamar dard hona aa baat hain. Isliye apne khane mein Calcium wale food ka zyada se zyada se istemal kare.
• Kamar dard se bachne ke liye aapka bistar na zyada mulayam aur nahi zyada hard nahi hona chahiye. Aapko aaramadayak bed ka istemal karna chahiye, Jo ki na soft aur na hi hard ho.
• Subah sun rise ke time 2-3 mile lambi walk par jane walo ko back pain ki shikayat kabhi nahi rahti hain.
• Mahilayein ek chammach nimbu, Ek chammach Lahsun ka ras ko 2 chammach paani mein mila kar din mein kam se kam 2 baar piye. Isse aapko kafi fayda hoga.
• Chaay mein 5 Kali Mirch ke daane, 5 Laung pees kar aur thoda sa sookhe adrak ka powder daale. Din mein kam se kam 2 baar ise piye. Isse aapko kafi labh milega.
• Roj subah Sarso ke tel ya Nariyal ke tel mein Lahsun ki 4-5 kaliya daal kar garm kare aur ise thanda karke is tel se kamar ki malish kare, Yakinan aapko fayda hoga.
• Is baat ka hamesha dhyaan rakhe ki kisi bhi saamaan ko uthaane ya rakhne ki jaldbaazi na kare, isse aapko kamar dard ho sakta hain.
• Ek jagah par jyada waqt tak baithe rahne se kamar dard hota hain. Ek jagah par jyada na baithe, Kam se kam 40 minutes baad thodi der tak tahle jaroor.
• Ajwain ko tavey ke upar thodi dheemi aanch par senk le aur thanda hone par dheere-dheere chabate huye nigal jaye. Hafte bhar ise khane se aapko pura aaram mil jayega.
• Garm pani mein namak daal kar isme tauliya daal kar nichod le. Iske baad peeth ke bal letkar aur is tauliye se bhaap le. Isse kamar dard se jaldi nijat milti hain.
• Kamar dard se nijat dilane ke liye namak kafi faydemand ho sakta hain. Iske liye 4 chammach namak kadhai mein daal kar acche se senk le. Iske baad sooti kapde mein ise baandh kar iski potli bana le. aur isse dard wali jagah ki sikaayi kare. Isse aapko labh hoga.
Post a Comment