Garmiyo mein jaroor khaye yeh phal.
Garmiyo mein hame ghumna aur masti karna bahut accha lagta hain. Har sardiyo ke mausam mein apni sehat ka toh bahut acchi tarah se khyaal rakhte hain lekin garmiya aate hi hum apni sehat par kam dhyaan dete hain. Garmiyo mein paseena zyada aata hain, Jiski wajah se sharir dehydrate hone lagta hain aur aise mein jaroori hota hain ki apne sharir mein nami ko barkarar rakha jaye taki aapko thakaavat na mahsoos ho. Aaj hum aapko aise phalo ke baare mein batayenge jinhe garmiyo mein jaroor khana chahiye, Isse sharir ke liye jaroori liquid milta hain aur yeh garmiyo mein aapko taro-taaza bhi rakhte hain. To jante hain garmiyo mein taro-taza rakhne wale phal-fruits :-
• Nimbu :- Nimbu mein Vitamin A, B aur C bahut hi acchi matra mein paya jata hain. Isme Jaroori minerals jaise ki Potassium, Iron, Sodium, Magnesium, Copper, Phosphorus, Chlorine ke alawa Protein, Fat aur Carbose bhi sahi quantity mein hote hain. Loo se bachaav ke liye Nimbu ko kaale namak wale paani mein mila kar peene se dopahar mein bahar rahne par loo nahi lagti hain. Iske alawa isme Vitamin A, Selenium aur Zinc bhi hota hain.
• Litchi :- Isme Carbohydrates, Vitamin C, Vitamin A aur B complex, Potassium, Calcium, Magnesium, Phosphorus, Iron jaise Minerals paye jate hain. Lichi mein mauzood Potassium aur Copper dil ko bimariyo se bachate hain. Yeh heart beat rate ki aniyamitta ya unbalance aur BP ko control karte hain, Jisse heart attack ka jokhim kam ho jata hain. Litchi mein suraj ki ultra violet rays se hamari skin aur body ko bachane ki khasiyat hoti hain. Litchi ke niyamit sewan se oily skin ko poshan milta hain. Chehre par padne wale daag-dhabbo mein kami aati hain.
• Aadoo :- Aadoo mein jaroori nutrients paye jate hain. Aadoo Anti-oxidants ka khazana hain, jo budhaape ke process se ladne mein madad karta hain. Aadoo skin ko healthy banane mein madad karta hain. Aadoo mein 80% tak paani aur zyada fiber hone ki wajah se ise wajan kam karne wala phal mana jata hain. Aadoo mein mauzood Vitamin A aur C tavcha ko nikhaarta hain. Saath hi Aadoo sharir ko thandak bhi deta hain. Aadoo red blood cells ka production karne ke sath, Haddiyo aur daanto ko strong banata hain, Sath hi daanto ko kharab hone se bhi bachata hain.
• Ananas :- Ananas mein bharpoor matra mein Magnesium paya jata hain. Yeh bones ko majboot banane aur body ko energy dene ka kaam karta hain. Is fruit mein paya jane wala Bromelain, Sardi-Khansi, Sujan, Gale mein kharash aur gathiya mein faydemand hota hain. Yeh hajme ke liye bhi faydemand hain. Yeh high Anti-Oxidants ka good source hain aur isme Vitamin C bhi kafi acchi matra mein hota hain. Isse body ki immunity badhti hain aur yeh garmi mein fresh karne wala phal hain.
• Tarbooz :- Tarbooz ek aisa jaroori phal hain jise garmiyo mein jaroor khana chahiye. Yeh paani se bharpoor, meetha phal hain. Aam-taur par ise garmi mein khana accha mana jata hain kyonki yeh sharir mein paani ki kami ko pura karta hain. Tarbooz blood pressure ko control mein rakhta hain aur saath hi yeh hame garmiyo mein hone wali kai bimariyo se bhi door rakhta hain. Khana khane ke baad ise khane se yeh hamare khane ko pachane mein madad karta hain aur saath hi tarbooz khane se loo lagne ka khatra bhi kam ho jata hain. Tarbooz mein Vitamin A, B, C aur Iron bhi sahi matra mein paya jata hain, Isse khoon badhta hain aur saaf hota hain.
• Kharbooza :- Kharbooje mein 95% tak paani ke saath Vitamins aur Minerals paye jate hain. Yahi wajah hain isse sharir ko kai sare fayde hote hain. Isse sharir ko thandak milti hain, saath hi dil mein jalan ki preshani bhi door hoti hain. Yeh kidney ki bhi safai karta hain. Yeh Anti-Oxidants aur Vitamin C ka bhi accha source mana gya hain. Yeh dil ki bimari aur cancer se bhi bachata hain. Itna hi nahi Kharbooja skin ke liye bhi faydemand hain. Isme Vitamin A paya jata hain jo skin ko healthy rakhne mein madad karta hain.
• Seb :- Seb mein Anti-Oxidants bharpoor matra mein hote hain. Isme paya jane wala polyphenols aur flavonoids dil ke liye bahut hi faydemand hain. Iske alawa yeh sharir ke liye jaroori minerals aur potassium ka bhi behatarin source hain. Seb mein 4 gram Fiber aur 95 Calorie hoti hain.
Post a Comment