Kaun sa Saabun hain aapke liye accha ?
Market mein available kai tarah ke saabun aapko confuse kar dete hain, Aakhir kaun sa saabun aapke liye accha hain ? Lekin koi aisa saabun abhi tak nahi bana hain jo har tarah ki skin ko suit karta ho. Har aadmi ki skin alag-alag hoti hain toh usay bhi skin ke mutabik hi apna sabun choonna chahiye.
Oily Skin ke liye saabun :-
Skin Sebum ka production karti hain, Jo ki ek natural oil hain. Alag-alag vyaktiyo mein iske production mein difference paya jata hain. Jaroorat se jyada Active sebaceous glands ki wajah se skin oily ho jati hain aur pimples ki problem hoti hain. Is tarah ki skin wale logo ko niyamit roop se apne chehre ko paani se dhote rahna chahiye, Lekin Strong soap ke istemal se bachna chahiye.
Saboon khareedne se pahle uske packet par likhe ingredients ko padhna na bhoole, Jisme Salt, Oatmeal, Brown Sugar ya Pitch jaisi cheeze ho, Veh saabun aapke liye faydemand hoga. Yeh aapke tavcha ke liye gentle hone ke saath saath extra oil ko bhi hatane ka kaam karega. Agar skin jyada sensitive na ho toh Mild Exfoliate soap ka istemal aap kar sakte hain.
Dry skin walo ke liye soap :-
Sebum skin ke liye accha mana jata hain, Lekin iska bahaav bahut jyada ya bahut kam nahi hona chahiye. Agar sebum ka production jaroori limit se kam matra mein hota hain toh skin dry ho jati hain.
Jab aap Dry skin ke liye soap ka selection kare toh aisa sabun choone jisme glycerin ho, is tarah ka saabun dry skin ke liye faydemand rahta hain. Yeh moisturize dene wala tatv hain.
Normal skin ke liye :-
Yeh combination skin se opposite hoti hain. Is tarah ki skin na toh jyada dry hoti hain aur nahi bahut oily hoti hain. Is tarah ki skin par aap na toh dry skin soap ka istemal kare aur nahi oily skin soap ka istemal kare. Iske liye herbal soap faydemand rahta hain.
Oily skin wale iss tarah ke saabut se door rahe :-
• Aise Saboon jinme acid tatv jyada ho ya PH value kafi high ho.
• Bahut jyada Chemical wale soap se bachna chahiye.
• Gorapan ka vaada karne wale saboono se bach kar rahna chahiye. Isme chemical ki matra bahut jyada hoti hain.
• Bahut jyada khusboo dene wale saboon se bhi bachna chahiye.
Post a Comment