Header Ads

Lauki ka juice peene ke fayde. (Benefits of drinking Bottle Gourd Juice in Hindi/Urdu.)

Bottle gourd juice  benefits in Hindi/Urdu.
Subah uthate hi sabhi logo ko Chaay-coffee peena bahut zyada pasand hota hain. Kai log aise hain jinhe chaaye peene ke baad hi neend se jaagte hain. Lekin chaay hamare sharir ke liye khatarnaak bhi hoti hain. Agar aap healthy rahna chahte hain toh Chai aur coffee ko chhod kar Lauki ka juice piye.

Lauki ka juice aapki sehat ke liye bahut hi faydemand hain. Iske peene se aapko kai saari bimariyo se nijat mil jati hain. Lauki ka juice peene se aapko kabz, Suntan aur motape se bhi nijat milta hain. 


Aaiye jante hain ki Lauki ka juice peene se hame kya-kya fayde hote hain. What is the benefits ko drinking bottle gourd juice in Hindi/Urdu?


Jalan mein rahat de :- Agar aapko urine ke dauran jalan aur dard mahsoos hota hain toh subah uthkar lauki ka juice piye. Peshab karne mein jalan urine mein acid ki matra badhne par hota hain aur lauki ke thandhak se Acid ka asar kam ho jata hain. 



Baalo ka jhadna roke :- Agar aap baal jhadne ki problem se preshan rahte hain toh Lauki ka juice jaroor piye. Yeh aapke baalo ke liye faydemand hain. Til ke tel mein lauki ka ras milaye aur ise scalp par lagaye, Isse aapke baalo ka jhadna rook jayega aur iske istemal se baal jaldi safed bhi nahi honge. 



Kabz se rahat dilata hain :- Agar aapko kabz ki shikayat rahti hain toh subah uthakar lauki ka juice peene ki aadat dale. Yeh aapko kabz se chhutkara dilata hain. 



Wajan kam karne mein helpful :- Agar aap badhte wajan se preshan hain toh Lauki ka juice peena shuru kar dijiye. Kyonki isme calorie aur fat bahut kam hota hain. Isliye yeh wajan ghatane ke liye bahut hi faydemand hain. Ek glass lauki ka juice subah jaroor piye. 

 
Tension se rahat dilata hain :- Lauki ke juice mein Neurotransmitter Choline bahut adhik matra mein paya jata hain. Yeh dimaag ki koshikaon ko theek se kaam karne mein madad karta hain, Jisse brain par pressure nahi padta aur tension jaisi situation mein fayda hota hain. 



Body ko detox kare :- Agar aap subah uthkar khali pet lauki ka juice peete hain toh aapke body mein freshness aur energy bani rahegi. Is juice mein 90% paani aur Anti-oxidants hote hain jo body se toxins ko bahar nikaal dete hain, Ise peene se aapke sharir mein thandak bani rahti hain. 


Suntan se chhutkara :- Is garmi mein agar aap suntan se bachna chahte hain toh lauki ka juice ka istemal kare. Lauki mein bleaching tatv paye jate hain jo tan ko light karte hain. 


Lauki ka juice workout karne ke baad jaroor piye :- Lauki ke juice mein natural sugar hota hain jo Glycogen ke level ko banaye rakhta hain aur workout ke dauran sharir mein carbohydrate ki kami ko lauki ka juice peene se pura kiya ja sakta hain. Workout ke baad aap protein shake peete hain toh uski jagah ek cup lauki ka juice piye. Yeh aapke muscles ki capacity ko bhi increase karta hain.