Namak Wala Paani peene ke fayde.
Healthy rahne ke liye roj subah Kala namak aur paani mila kar peena shuru kar dijiye. Ji haan is ghol ko sole water kahte hain, Jisse aapko bahut fayde hote hain. Lekin is baat ka aapko dhyaan rakhna hoga ki aapko apne kitchen mein mauzood aam (normal) namak ka istemal nahi karna hain, Aapko Kaale namak (Black Salt) ka istemal karna hoga tohi aap namak wale paani peene ka fayda utha sakenge. Kaale namak mein 80% tak Minerals aur natural tatv paye jate hain.
Ek glass halke garm paani mein 1/3 chota chammach Kala namak milaye. Is glass ko plastic ke dhakkan se dhak de. Phir glass ko hilate huye namak milaye aur 24 hours ke liye rakh de. 24 ghante baad dekhiye kya kaale namak ka tukada paani mein ghul gya hain. Uske baad isme thoda sa kala namak aur milayiye. Jab aapko lage ki paani mein ab namak ghul nahi raha hain toh samajhiye aapka namak wala paani peene ke liye ready hain. Aaiye ise peene ke fayde ke baare mein jante hain :-
Namak wale paani ko subah khali pet peene se hote hain yeh gajab ke fayde.
• Skin ko gora kare :- Isme mauzood minerals jaise Sulfur, Zinc, Iodine aur Chromium aapki skin ko gahraai se saaf karte hain, Jisse aapka rang gora hone ke saath-saath aapki skin se related problems door hoti hain.
• Tension ko kam kare :- Namak ka paani peene se aapko tanaav se nijaat milta hain.
• Blood pressure control mein rakhe :- Natural namak mein aise minerals paye jate hain jo aapki sehat ke liye kafi faydemand hote hain. Is namak wale paani ko peene se aapka blood pressure sahi rahta hain.
• Sujan ko kam kare :- Is paani ko peene se sharir mein kisi bhi tarah ke sujan aur jalan se rahat milta hain. Hamare sharir mein sujan tab aati hain jab hamari body ko jaroori matra mein sodium nahi mil pata, toh Renin aur Aldosterone milkar yeh problem paida karte hain.
• Body ko detox karta hain :- Namak mein kafi minerals hone ki wajah se yeh anti-bacterial ka kaam karta hain. Iski wajah se body mein mauzood khatarnaak bacteria ka khatma hota hain.
• Digestion ko sudhaarta hain :- Namak wala paani Mooh mein lar wali granthiyo ko active karne mein madad karta hain. Lar pet ke ander natural salt, Hydrochloride Acid aur protein ko hajam karne wale enzymes ko thrilled karne mein madad karta hain. Isse khaya gya khana toot kar aaram se pach jata hain. Iske alawa liver mein bhi enzyme ko uttejit karne mein madad milti hain, Jisse khana pachaane mein asaani hoti hain.
• Wajan kam kare :- Yeh hajme ko durust karke body ke cells tak nutrients ko pahuchaata hain, Jisse motapa control karne mein help milti hain.
• Haddi ki majbooti ke liye :- Aapko shayad maloom na hamara sharir hamari haddiyo se calcium aur dusre minerals ko khichta hain. Jiski wajah se hamare sharir ki haddiya kamjor ho jati hain. Namak wala paani peene se khoye huye Minerals ki purti hoti hain. Jisse aapki haddiya phir se strong ho jati hain. Isliye roj subah kale namak ka paani jaroor peena chahiye.
• Skin problems :- Namak mein mauzood chromium acne (pimples) se ladta hain. isme mauzood sulfur skin ko soft aur clean banata hain. Iske alawa namak wala paani peene se Eczema ki problem door hoti hain.
• Acchi neend lane mein faydemand :- Agar aapko anindra ki shikayat toh kala namak kafi faydemand ho sakta hain. Kala namak mein mauzood minerals hamare sharir ki tantrika tantra ko shant karta hain. Yeh 2 khatarnaak hormone Cortisol aur adrenaline ko kam karne mein madad karta hain, Jisse aapko raat mein acchi neend aati hain.
Post a Comment