Saavdhaan Jhaag wala toothpaste de sakta hain aapko Cancer.
Naami Giraami companies tarah-tarah ke toothpaste ka nirmaan karti rahti hain. Veh apne toothpaste ko banane ke liye na jaane kya-kya chemical milati rahti hain. Tootpaste banane wali company kabhi bhi yeh nahi batati hain ki usne is paste ko kaise banaya ?
Real Fact yeh hain ki toothpaste kisi padarth se nahi balki jaanwaro ki haddiyo ke choore se banta hain. Jaanvaro ke choore ke saath-saath isme kai khatarnaak cheeze milayi jati hain. Jaise ki fluoride. Fluoride oos zehar ka naam hain jo sharir mein Fluorosis naam ki bimari ko paida karta hain. Vaise bhi Bharat ke paani mein pahle se hi jyada Fluoride paya jata hain.
Kya aapko maaloom hain ki zyada jhaag dene wala toothpaste aapko cancer bhi de sakta hain. Ji Haan Cancer, Kyonki Jo hum toothpaste istemal karte hain, unme jhaag nikalta hain. Yeh jhaag Sodium Lauryl Sulphate naam ke chemical ki wajah se bante hain.
Chemistry mein ek chemical ka jikr hua hain, veh hain Sodium Lauryl Sulfate. Agar aap Chemistry ki Dictionary mein "Sodium Lauryl Sulfate" ke baare mein janna chahenge toh is word ke aage likha hota hain "Zehar". Aur agar is chemical ki .05mg ki matra sharir mein chali jaye toh aapko cancer ho sakta hain. Kyonki bina Sodium Lauryl Sulfate ke Toothpaste mein jhaag nahi ban sakta hain.
Toothpaste aur Shaving Cream dono mein yeh " Sodium Lauryl Sulfate" daala jata hain. Bus thoda process mein antar hota hain. Yeh jhaag isi chemical ki wajah se bante hain. Technical language mein ise Synthetic Detergent kaha jata hain, Vahi in pasto mein milaya jata hain. Yehi Synthetic Detergent "Sodium Lauryl Sulfate" Kapda dhone wale washing powder aur detergent cake, shampoo aur daadhi banane wale shaving cream mein bhi milaya jata hain. Duniya ke sabse ghatiya paste hum istemal karte hain.
Sodium Lauryl Sulfate ke aur bhi naam hain :-
Sodium Lauryl Sulfate ke aur bhi naam hain, Jo aapke toothpaste par print hote hain. Inme Sodium dodecyl sulfate, Sulfuric acid, monododecyl ester, Sodium Salt, Sodium Salt Sulfuric Acid aadi naam hain.
Toh kya kare Use ?
Saaf zaahir hain ki toothpaste se jhaag bante hain. Agar aisa toothpaste use kiya jaye jisme jhaag nahi banta ho, toh behtar option yeh ho sakta hain. Jaise aap tooth-powder ya manjan jaise product use kar sakte hain. Jitna ho sake aap Neem ke daatun ka istemal kare. Dant-Manjan bhi iske behatar option hain.
Aap Sarso ke tel mein namak aur haldi mila kar manjan bana kar istemal kar sakte hain. Daatun aapko har jagah mil jayega, Yaha tak ki Big Cities mein bhi neem ke daatun ab asaani se available hain toh aap kanhi bhi rahte hain toh datun ka istemal kar sakte hain.
Post a Comment