Header Ads

Mood agar ho jaye kharab toh khayiye yeh cheeze janab.

Mood ko happy banane wale food.
Mood kharab hone par kya khaye? Mood ko badalne ke liye kaun si cheezo ko khana chahiye? Mood ko sahi rakhne ke liye kya khana chahiye? Happy hone ke liye kya khaye? Mood ko sahi karne wale food kya hain? In swaalo ka jawaab janne ke liye yeh post jaroor padhe.

Agar aapka mood kharab hain ya phir aapka dimaag kuch sust aur slow sa ho raha ho toh aur aap chah kar bhi usay theek nahi kar pa rahe hain toh khane ki kuch cheeze aapke mood ko khushnuma bana sakti hain. Kuch researches ke mutabik Serotonin, Endorphin, Dopamine aur dusre Neurotransmitter Hormones hote hain jo Dil aur dimaag ko accha aur khush rakhte hain. Isliye agar aapka mood kharab ho gya ho toh in cheezo ko jaroor khaye, Inse bigda mood bhi sudhar jata hain. Happy rakhne ke liye yeh cheeze jaroor khaye. Aap ekdum fresh feel karenge toh jante hain kuch aise foods ke bare mein jo aapka mood badal sakte hain. .

1. Agar aapka dimaag soost hain toh black tea, green tea ya orange lemon tea lene se mood ekdum change ho jata hain. Ji haan Journal of Nutrition ki ek research ke mutabik is tarah ki chai mein ek tarah ka amino acid paya jata hain. Jo bigde mood ko khushnuma aur soost dimaag ko ekdum sharp bana deta hain. .

2. Strawberry Potassium ka bahut accha source hain, Jo ki tantrikaon ko uttejit karne mein madad karta hain. Yeh vitamins ka bhi bahut accha source hain. Ise khane se hamara mood accha hota hain. .

3. Agar aapka mood kharab hain to, thoda sa Shahad kha le. Darasal, Shahad se niyamit sugar ki matra milti rahti hain. Isme Kaempferol aur Quercetin aadi paye jate hain, Jo ki mind ko stress free rakhne ka kaam karte hain. .

4. Jyada matra mein Protein lene se bhi stress kam hota hain. Isliye jab aap jyada tension aur stress feel kare toh Macchli, Anda aur doodh se bani cheezo ka sewan kare. Isse sharir ko protein aur amino acid milte hain. Tyrosine ek special kism ka amino acid hain jo Dopamine, Norepinephrine aur Epinephrine aadi Neurotransmitter ke production ko badhata hain. In rasayano se sharirik alertness aur energy badhne mein madad milti hain. Isliye agar aap accha feel karna chahte hain toh protein se bhare khadya padarth, Jaise Macchali, Anda, Meat, Phaliya, Paneer, Doodh aur Dahi aadi ka sewan jaroor kare. .

5. Carbohydrates se bharpoor food ko khane se kharab mood sahi ho jata hain. Carbohydrate wale food Serotonin ka production badhate hain. Jo ki body ke liye feel – good hormone hain. Research se pata chala hain ki jin depression ke mareezo ne carbohydrate ka lagatar sewan kiya, 1-2 hafte mein hi unka depression kam hua. .

6. Jab aap stress mein ho toh nariyal jaroor khaye. Nariyal khane se heartbeat turant control mein aa jati hain. Colombia University dwara kiye gye research mein yeh paya gya ki agar kisi ka blood pressure badha hua hain aur veh nariyal soonghta hain toh uska blood pressure bahut tezi se control mein aata hain. Darasal Nariyal mein medium size triglycerides hote hain. Isme fat ki special quantity hoti hain jo mood ko accha karte hain aur dimaag ke liye healthy bhi hain. .

7. Kele ko ek poshak tatvo se bharpoor phal mana jata hain. Isme kai tarah ke poshak tatv bharpoor matra mein hote hain. Potassium aur Magnesium kafi matra mein paye jate hain. Kele ke ander natural sugar jab aapke blood mein milti hain toh isse aapme energy ka circulation hota hain. Kele mein Starch wala Carbohydrate hota hain jo aapke mood ko accha banaye rakhne mein madad karta hain. .

8. Dark Chocolate khane se dimaag stress free hota hain. Kai researches se yeh baat saabit ho chuki hain. Saath hi Chocolate mein Anti-Oxidants paye jate hain, Jo aapke mood ko hamesha accha banaye rakhti hain. .

9. Tamatar sirf tasty aur swaad badhane wala nahi hota hain. Yeh dimaag ke liye accha hain. Isme Lycopene naam ka Anti-Oxidant paya jata hain jo dimaag ki sujan ko door karta hain. Yani ki tamatar brain ke health ke liye accha hain aur bigade mood ke liye bhi.