Header Ads

T.V. dekhte huye in baato ka rakhe dhyaan.

Televison dekhne  ke tips.
T.V. dekhne ke jaha fayde hote hain, vahi iske nuksaan bhi hain. Television ke nuksaan se bachne ke liye Television ko puri tarah dekhna band kar dena koi upay toh nahi hain, Lekin choti-choti baato ka khyaal rakha jaye toh iske bure effects ko jaroor kam kiya ja sakta hain. T.V. dekhne ke liye jaroori tips.

• Chamak ko kam kare :- Apni T.V. ko is tarah se position karke rakhe ki screen par chamak kam pade. Iske liye aap apne Television aur room ki lights ka angle 90 degree par rakhna chahiye. Aap chahe toh T.V. dekhne ke dauran Anti-Glare glasses bhi laga sakte hain taki aankho ko screen ki chamak se bachaya ja sake.




• TV ko upgrade kare :- Agar aap bahut purane design aur zamane ka T.V. dekh rahe hain toh ise hata kar flat screen T.V. ko choose kare. Isse aankho par screen kam se kam chamakti hain. Saath hi Television ka screen jitna bada hoga, veh aankho ke liye utna hi behtar hoga. Isse aankho ko choti screen par focus nahi karna padta hain aur aankho par zor kam padta hain. 



• Break lete rahe :- Lagatar TV se chipke rahne ki bajaye thodi-thodi der mein usse break lete rahe. Isse aankho par dabaav kam padega. T.V. dekhne ke dauran aankhein jhapkaate rahe aur jab bhi ads break aaye toh kuch der ke liye tahal aaye. Isse na kewal aankho ko aaram milega, balki back ki problem se rahat milegi. Tahalne ke dauran kisi door rakhi cheez par focus karne ki koshish kare. 



• Aankho ko aaram pahuchaye :- T.V. dekhne ke baad agar aapki aankhein bahut thak jati hain toh unhe aaram pahuchane ke liye aap kuch upay kar sakte hain jaise aankho ko aaram se massage kare, Hatheliyo ko aapas mein ragad kar garm kare aur phir unhe aankho ke upar rakhe, ya aankho ki normal exercise kare. Har din 8 hours ki neend jaroor le taki aankho ko aaram mil sake. 



• Light rakhe ON :- T.V. dekhna har kisi ko accha lagta hain, Chahe bade ho ya bacche. Kai baar hum Bed par baithe-baithe, sote-sote bhi T.V. dekhte hain, jo ki aankho par bura asar daalta hain. Jab bhi T.V. dekh rahe ho toh kamre ki light chaaloo rakhe, Isse aapki aankhein nahi thakengi. 



• Screen se doori banaye rakhe :- T.V. dekhne ke dauran is baat ka khyaal rakhe ki veh aapki aankho se 8 se 10 feet ki doori par ho. Veh sahi uchaai par ho, Chahe veh aankho ke level ki baat ki jaye toh T.V. ki uchaai aankho ke neeche ya aankho ke upar nahi honi chahiye. Uski screen ko dekhne ke liye aapki aankho ko upar-neeche karne ki jaroorat nahi honi chahiye. Matlab T.V. aankho ko theek saamne barabar level mein hona chahiye.