Header Ads

Amaltas ke fayde. (Benefits of Amaltas in Hindi.)

Amaltas ke Ped/Phool ke fayde. (Benefits of Amaltas)
Aaiye jante hain Amlatas ke ped, Phool, Patte ke kya fayde hote hain? What is Health Benefits of Amaltas Tree, Flower in Hindi/Urdu.?

Prachin kaal se hi Ayurveda mein vishesh mahtav rakhne wala Amaltas ka ped bhayankar garmi padne par bhi beshumar phoolo se lad jata hain. Garmiyo mein nature ki beauty ko chaar-chaand lagane wala Amaltas ke ped ko thoda sa bhi paani mil jane par yeh phool dena band kar deta hain, Aisa baagbano ka manna hain.

Sukhi banjar dharti par yeh special kism ka ped garmiyo mein aur ped-paudhe ke mukable aur bhi zyada phalta-foolta hain. Is ped ko dekh kar har koi khush ho jata hain. Bhartiya Ayurveda mein iska vishesh sthan hain, Is ped se phoolo ke baad paida hone wale beejo ka istemal na sirf manusya ki balki doodh dene wale janwaro ki kai tarah ki bimariyo ka upchar bhi kiya jata hain.

Mana jata hain ki bhayankar garmi ka mausam jaha har jeev-jantoo aur ped-paudhe ke liye takhleefdeh hota hain, Vahi kadakati garmi Amaltas ke ped ke liye vardaan hoti hain. Amaltas ka ped sookhi dharti par hi bheeshan garmi mein phool deta hain.

Kya aapko pata hain ki Shaharo mein Sadko ke kinaare lagaye gye Amaltas ke ped na sirf shahar ki khubsoorati ko badhate hain, Balki Amaltas ke ped ka har part jaise ki Phool, Chhaal, Phal aur pattiyo ka istemal prachin kaal se hi medicine ke roop mein kiya jata raha hain.

Amaltas jise Rajasthani mein Kirmala bhi kahte hain, Iske beejo ka aushidhi ke roop mein prayog karke kai tarah ki bimariyo ko door kiya jata hain.

Aaiye jante hain Amlatas ke ped ke kya fayde hote hain. :-

• sardi-jukaam ke liye faydemand hain :- Amaltaas Sardi-Jukaam mein faydemand hota hain. Jalte huye Amaltas ke jad ka dhooaan Bahti hi huyi naak ke ilaj ke liye kargar hota hain. Yeh Dhuaan bahti huyi naak ko turant rahat pradan karne ke liye jana jata hain. Iska ras cough aur bulgam ko bhi door karta hain.

• Jakhamo ko tezi se bharta hain :- Amaltas jakhmo aur ghaavo ko tezi ke saath bharta hain. Amaltas ki jadi-booti naye body ke naye tissues ko paida karti hain aur iski pattiyo ka ras Infected skin area ki dressing ke liye istemal kiya jata hain. Iske alawa Iski chhal se banaye gye kaadhe ka istemal jakhmo ko dhone ke liye kiya jata hain. Isse Infection nahi hota hain.

• Body ki immunity ko badhata hain :- Amaltas ke ped ke fruits aur chhal Anti-Oxidants guno ka khazana hote hain. Isliye iska sewan karne se body ka immune system strong banta hain.

• Kabz ko door karta hain :- Amaltas ke ped ke gude ko rechak ke roop mein jana jata hain. Amaltas ke fresh gude ko badhajmi se preshan aadmi ko diya jaye toh yeh turant aaram pradan karta hain. 50 Gram Amaltas ke gude ko puri raat paani mein bhigo kar rakhe, phir isme 25 gram Chini mila kar mixture taiyaar kare aur kabz ki problem ko door karne ke liye iska istemal kare. Amaltas ke gude ko kacche Zeere ke saath mila kar khana bhi kafi asardaar hota hain.

• Toilet saaf lata hain :- Amaltas ki pakki phaliyo ko tod kar baalo ret mein gaadkar ek hafte baad nikaal kar dhoop mein sookha le. Sookh jane par phaliyo ka guda nikaal kar saaf bartan mein dhak kar rakh de aur phir ise dawa ke roop mein pryog kare. Is aushidhi se mall vikaar (Toilet na aane ki preshani) door hoti hain. Lekin dhyaan rahe ki Amaltas ki aushidhi ka prayog herbal expert ki salah lekar hi kare.

• Pet ke rogo mein faydemand hain :- Baccho ko aksar pet mein dard, Gas aur pet phoolna jaisi problems ho jati hain. In problems mein Amaltas ke gude ko naabhi ke aas-paas ke areas par lagane se fayda hota hain. Yeh upchar niyamit roop se karte rahne se yeh problem dheere-dheere karke puri tarah se door ho jati hain. Iske alawa Gude ko Alsi ke tel ya Badam ke tel saath mila kar lene se potty karne ki problems ko door karne mein help milti hain.

• Skin ki problems door kare :- Amaltas ke ped ki pattiya, Skin ki jalan, Sujan aur dard ko asardaar tarike se rahat dene mein madad karti hain. Amaltas ki pattiyo ko chhaachh se saath pees kar skin par lagane se skin se related kai problems se chhutkara mil jata hain. Daad-Khaj khujali hone par Amaltas ki phalliyo ke gude ko neem ki pattiyo ke saath pees kar infected Skin par lagane se labh hota hain.

• Bukhaar ko kam karta hain :- Amaltas bukhaar ke upchar mein bhi help karta hain. Amaltas ke ped ki jad tonic ke roop mein jani jati hain, Jo bukhaar ko kam karne mein help karti hain. Bukhaar hone par Amaltas ke gude ki 3 gram matra din mein 3 time 6 dino tak lagatar lete rahne se bukhaar mein aaram milta hain aur bukhaar ke dauran hone wale badan dard se bhi rahat milti hain.