Header Ads

Baalo ki samsyaon mein faydemand hain Desi ghee.

Ghee for Hair in Hindi/Urdu.
Ghee ko Ayurveda mein Amrit tak kaha gya hain. Desi ghee prachin kaal se hi Indian sub-continentals mein khane mein istemal hota aaya hain. Ghee ko baalo ki samsyaon ke ilaj mein bahut hi faydemand mana gya hain. Ise balo mein lagana jitna asaan hota hain, Utna hi zyada mushkil ise chhudana hota hain. Hair experts ki mane toh Ghee mein thoda sa Badam ka tel milane se usme Vitamin E ki matra kafi badh jati hain. Isse baalo ki growth bhi acchi hoti hain. Saath hi isse hud se jyada chipchipahat bhi nahi hoti hain.

Aaiye jante hain Ghee hamare baalo ke liye kaise faydemand hota hain ? Baalo ki acchi sehat ke liye Ghee se jude huye kuch gharelu nuskhe (Home Remedies of Ghee for healthy hair in Hindi/Urdu.) :-

Baalo mein ghee kaise lagana chahiye ?

Ek bartan mein 4-5 chammach ghee le. Jab yeh halka gunguna ho jaye toh isme 5 gram Badam ka powder mila de aur phir 3 chammach Badam ka tel milaye. Is mishran ko acche se mila le aur dhuley huye baalo par lagaye. Halke haatho se massage kare aur 5 minutes rook kar phir se massage kare. 30 minutes tak laga rahne de aur baad mein baal dho le. Isse yeh fayde hote hain :-

• Baal Safed hone se roke :- In dino baalo ka safed hona aam samsya ban gyi hain. Agar aapko bhi darr lagta hain ki kanhi aapke baal safed na ho jaye toh ghee lagana shuru kar de. Ghee lagaye, massage kare. Tauliye se baalo ko 15 minutes ke liye lapet de. Baad mein baalo ko gungune paani se dho le.

• Do-moohe baalo se bachata hain :- Agar aap do-moohe baalo se preshan hain toh baal dhone se pahle baalo mein ghee ko gunguna karke lagaye. 15 minutes tak lagaye rakhe, baad mein gungune paani se baalo ko dho le.

• Baalo ki growth badhane ke liye :- Mahine mein 3 se 4 baar ghee baalo mein lagane se baalo ki growth acchi hoti hain. Aap chahe toh Ghee ke alawa Pyaaz ya Amle ka ras bhi laga sakte hain. Isse baal ghane hone lagte hain.

• Dandruff door bhagaye :- Baalo mein kai wajaho se dandruff ho jati hain, Lekin agar dandruff hone ki wajah rookhapan hain toh ghee se accha upay aur koi nahi ho sakta hain. Ghee aur Badam ke tel ko mila kar lagaye aur 15 minutes tak laga rahne de aur phir Paani mein Gulab jal mila kar, is paani se baalo ko dhoye. Aisa niyamit karne se baalo mein se dandruff door ho jayegi.

• Baalo ko shiny banata hain :- Ghee lagane se baal bahut silky ho jate hain. Isko gunguna kare. 20 minutes tak massage kare aur seer par thoda nimbu paani lagaye aur chhod de. 10 minutes ke baad baal dho le. Ghee baalo ko natural chamak deta hain.

• Seer ki skin ke infection ko door karta hain :- Agar aapke seer ki skin mein kisi bhi tarah ka infection hain toh ghee lagaye. Isse Psoriasis jaisi bimari mein fayda milta hain.