Header Ads

Gathiya ki bimari mein kya khaye aur kya nahi khaye.

Gathiya (Arthritis) ki bimari mein kya khaye aur kya nahi khaye.
Gathiya ki bimari (Gout/Arthritis) bahut hi dard dene wali bimari hain, Yeh ek baar jise ho jata hain, asaani se uska peecha nahi chhodti hain. Is bimari mein body ka uric acid badh jata hain, jisse joints mein dard paida hota hain. Kai logo ko gathiya umar badhne se hota hain, Lekin kuch logo ko yeh bimari bachpan mein hi ho jati hain. Kai aisi khane ki cheeze hain, Jinko khane se gathiya mein kuch hud tak rahat mil sakti hain.

Example ke taur par agar pyaaz aur olive oil ki baat ki jaye toh iska istemal karne se gathiya ka dard kam ho jata hain. Carotene wale food gathiya ko theek kar sakte hain. Agar aise food hain jo gathiya ke dard ko kam karte hain toh, aise bhi food hote hain jo gathiya ke dard ko badha sakte hain. Hum aksar galti ya jaan boojh kar khane wali aisi cheezo ka sewan kar jate hain jo hamare dard ko aur bhi badha dete hain. Gathiya mein kya khaye aur kya nahi khaye? Arthritis hone par kya khaye aur kya nahi khaye?

Toh aayiye jante hain Gathiya ke rog mein kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye.





Gathiya ki bimari mein yeh khana chahiye :-

Olive Oil :- Isme mauzood Anti-Oxidants aur Omega-3 Fatty Acid jodo ke dard se rahat dilate hain.

Pyaaz :- Isme aspirin ke mukable ek tatv hota hain jo dard ko gayab kar deta hain.

Cherry :- Isme Anthocyanin hota hain jo jodo ko majboot banata hain. Cherry khane se jod majboot ban jate hain aur unme dard bhi kam hota hain.

Orange :- Santre mein swasthyavardhak Collagen hota hain. Isme Vitamin C hota hain, Santra gathiya ki bimari mein jaroor khana chahiye.

Haldi :- Haldi khane se dard aur sujan kam ho jata hain.

Adrak :- Yeh haddiyo ki sujan ko kam karta hain. Apni diet mein khoob saara adrak shamil kare.

Macchli :- Fish mein Omega-3 Fatty Acid hota hain jo jodo ki sujan ko kam karne mein helpful hain.

Green Tea :- Green tea mein dher saara Anti-Oxidant aur Nicotine hota hain jo dard ko daba deta hain.

Kaddu :- Kaddu mein Carotene paya jata hain jo jodo ki sujan ko kam karta hain.




Gathiya ke rog mein yeh cheeze nahi khani chahiye :-

Chini :- Chini aapke ghutno ke liye kharab hain. Isse wajan badhta hain aur ghutno mein dard paida hota hain.

Coffee :- Yeh sharir ko dehydrate banati hain jo dard ko badha deta hain. Saath hi yeh sharir se jaroori poshak tatvo ko sokh leti hain, Jisse aur bhi dard hota hain. Gathiya ki bimari mein coffee nahi peeni chahiye.

Doodh :- Doodh mein bhari matra mein Purine paya jata hain jo uric acid ko badhawa deta hain.

Tamatar :- Tamatar ke beejo mein bahut saara uric acid hota hain, Jo haddiyo mein jam kar gathiya paida karta hain.

Vegetable Oil :- Soybean Oil aur Surajmukhi ke tel mein bahut sara fat hota hain, jo sujan ko paida karta hain.

Red Meat :- Jab aapko gathiya ki bimari ho toh oon khane wali cheezo ko kabhi nahi khana chahiye, Jinme phosphorus zyada payi jati hain. Aisa isliye ki aapki body mein jitna phosphorus rahega, Yeh utna hi calcium aapko haddiyo se ghatata rahega.

sharab :- Sharab haddiyo ko calcium sokhne se rokta hain, Jisse haddiya bhur-bhuri ban jati hain.

Ghongha (Snail ) ;- Isme mauzood Purine baad mein uric acid mein convert ho jata hain, Aap jitna zyada uric acid khayenge utna zyada aapko dard hoga.


To aapne jana Gathiya (Arthritis) hone par kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye.