Header Ads

Giloy ke behtarin fayde.

Giloy ke patte
Mausam ke change hote hi choti-moti bimariya hame gher leti hain, isliye badlate mausam ke saath apna khyaal rakhna chahiye. Purane zamane ki baat kare toh log aushidhiyo ka istemal karte thay. Unhi aushidhiyo mein se ek hain Giloy. Giloy ke patte hamare liye kafi faydemand hain. Iska sewan karne se aapko bahut saare fayde hote hain.

Giloy ki pattiyo mein bhari matra mein Calcium, Protein, Phosphorus aur tane mein starch paya jata hain. Saath hi isme Anti-Bacterial aur Anti-Viral gun bhi paye jate hain. Jo aapko kai saari bimariyo se bachate hain. Aaiye jante hain Giloy se aapko kya kya fayde aur benefits hote hain :-

• Aankho ki roshini badhaye :- Giloy ke ras ko Amla juice ke saath mila kar peene se aankho ko fayda hota hain. Iske sewan se aankho se related sabhi problems door ho jate hain, Yeh aankho ki roshini ko bhi badhata hain. Giloy ke ras mein Triphala mila kar kadha bana le , is kadhe mein peepal ke churan aur shahad mila kar iska subah-sham sewan karne se aankho ko vishesh labh hota hain.

• Pairo ki jalan ko door kare :- Agar aapke pairo mein bahut zyada jalan hoti ho toh is jalan se chhutkara pane ke liye Giloy bahut hi faydemand hain. Iske liye Giloy ke ras ko neem ke patte aur Amla ke saath mila kar iska kadha bana le. Iska sewan rojana kam se kam 2 ya 3 baar jaroor kare. Aisa karne se aapke haath pairo aur pure sharir ki jalan door ho jayegi.

• Ulti mein rahat dilaye :- Kai logo ko garmiyo mein ulti hone ki problem hoti hain. Agar aapko yeh samsya hain toh Giloy ke ras mein Mishri ya Shahad mila kar din mein 2 baar iska sewan kare. Isse aapke sharir ko thandak milegi aur aapko ulti aani band ho jayegi.

• Hemoglobin ki kami ko pura kare :- Giloy ke patte sharir mein khoon ki kami door karta hain aur Saath hi yeh body ki rog-pratirodhak kshamta ko bhi badhata hain. Iska sewan karna aapke liye labhkari hota hain. Iske liye giloy ke ras ko ghee ya shahad mein mila kar kar lena chahiye.

• Pet se related bimariyo ke liye faydemand :- Giloy ke ras mein Shahad mila kar peene se pet se related sabhi rog theek ho jate hain. Iske saath hi aap Giloy aur Shatavari ko pees kar ek glass paani mein mila kar pakaye. Jab ubal kar yeh aadha ho jaye toh subah-sham iska sewan kare. Isse aapko rahat milegi.

• Motape ko control kare :- Giloy motape ko door kar sakta hain. Iske liye Giloy aur Triphala churan ko subah aur sham shahad ke saath le ya phir Giloy, Harad, Baheda aur Amla mila kar kadha banakar isme Shilajeet mila kar pakaye aur sewan kare. Iska niyamit sewan karne se motapa control mein ho jata hain.

• Kaan ke dard se dilaye chhutkara :- Agar aapko kaan mein dard ho raha ho toh Giloy ke paato ka ras kafi faydemand saabit ho sakta hain. Iske liye Giloy ke ras ko gunguna karke kaan mein dale. Isse aapko rahat milegi.

• Piliya se rahat dilaye :- Piliya rog mein giloy ka sewan kafi faydemand saabit ho sakta hain. Iske liye Giloy ka ek chammach powder, Kali Mirch aur Triphala ka ek chammach powder aur Shahad ko mila kar chaatne se Piliya ki bimari mein fayda hota hain. Aap chahe toh iske patto ko pees kar iska ras nikaal le aur ise subah ke samay matthe (lassi) mein mila kar piye. Isse aapko piliya se nijat mil jayega.