Header Ads

Perfect Selfie lene ke top tips.

Perfect Selfie Tips in Hindi/Urdu.
Aaj kal ke zamane mein Selfie ka trend badhta hi ja raha hain. Smartphone se log jab bhi mauka milta hain Selfie lena nahi bhoolte hain. Bedroom se lekar Party event, travelling tak har jagah selfie lene ka bhoot chadha rahta hain. Jin logo ko selfie lene ki aadat ho, unhe aaj hum batayenge aise top tips jo perfect selfie khichne ke liye hain. Aaiye jante hain perfect Selfie click karne ke khas tips :-

Do Something Interesting :- Kuch interesting kaam karte huye selfie lena kafi special hota hain. Selfie lete waqt kabhi seedhe ban kar na baithe, Kuch na kuch harkate jaroor kare. Aisi selfie kafi acchi mani jati hain.

Don’t Edit Photo :- Selfie ko kabhi bhi Edit nahi karni chahiye. Isse photo mein realty nahi rahti hain, Selfie jaisi bhi aayi ho apne aap mein best hain.

One Hand or Two Hand :- Selfie lete waqt aap kaun sa haath use kar rahe hain, Yeh bhi mayne rakhta hain. Ek haath se selfie lena ho ya dono haath se , dono alag-alag hain. Aise mein aap in dono tariko se selfie le sakte hain aur jo aapko acchi lage turant apne friends mein share kare.

Adjust your shoulder placement :- Agar aapka shoulder camera ke Parallel hain toh usey side ki aor thoda aur jhuka de. Ise aap right ya left kisi bhi side jhuka sakte hain. Isse aapki selfie kafi acchi ban sakti hain.

Use Back Camera :- Aamtaur par selfie lovers hamesha se selfie lene ke liye front camera ka istemal karte hain. Halaki yeh kafi accha hain, Lekin agar aap isse bhi behtar selfie lena chahte hain, toh hamesha back camera ka istemal kare. Back camera ka resolution kafi high hota hain, Jisme blurriness ke chance kafi kam hote hain.

Experiments with Angles :- Selfie lete waqt perfect angle ka hamesha dhyaan rakhe. Jaise ki aap selfie lene ja rahe hain, apne seer ko ekbaar Right Side aur phir left side rakh kar phone ki screen par nazar dale. Isse aapko andaza lag jayega ki ek side dusri side se behtar hain. Aise mein jo angle aapko accha lage turant photo click kare. Kabhi bhi screen ke beech mein face rakh kar selfie na le, Yeh acchi nahi aayegi.

Smiling Face :- Koi bhi photo acchi tabhi mani jati hain jab usme muskurahat ka alag andaz dekhne ko mile. Aapko Monalisa ki veh picture toh yaad hi hogi, Jo apne smile ki wajah se puri duniya mein famous hain. Isiliye selfie lete waqt smiling face hamesha se important hota hain.

Pose with something new :- Kisi bhi perfect selfie mein pose ka role kafi important hota hain. Different poses mein selfie lene ka alag hi maza hain. Iske saath hi aap looks ke saath bhi experiments kar sakte hain. Kabhi glasses laga kar, kabhi hair style change karke, vahi ghar mein koi paaltu jaanwar hain toh uske saath selfie lena best option hain.

Take a full body shot :- Jyadatar selfie mein aapka chehra hi dikhayi deta hain, Lekin full body shot lena ek behtar option ban sakta hain. Kisi full size mirror ke saamne selfie lena ek alag experience hota hain, toh abki baar jaroor try kare.

Stand in the light :- Selfie lete waqt light adjustment jaroori hain, Jab bhi selfie lene ja rahe ho toh face hamesha oos taraf rakhe, jis taraf se aapke chehre par light aa rahi ho. Is tarah se selfie kafi acchi aati hain. Iske alawa agar aap light ke hisaab se khud ko adjust karenge , Jaise ki half face par light pade, aise mein kafi acchi selfie aa sakti hain. Yaha par dhyaan rakhna hoga ki light ko kabhi bhi background mein na rakhe.