Header Ads

Pregnancy mein Orange (Santra) kyo khana chahiye?

Orange eating  during pregnancy is safe? Pregnancy mein Santra khana in Hindi/Urdu.
Pregnancy mein Santra (Orange) khana kya safe hain? Pregnancy mein Santra kyo khana chahiye? Pregnancy mein Santra khane ke fayde kya hain? What is the Benefits of eating Orange in Pregnancy Period in Hindi/Urdu? Is Orange is Safe in During Pregnancy? Why Eat Oranges in Pregnancy period in Hindi/Urdu? In swaalo ka jawaab janne ke liye puri post jaroor padhe.

Pregnancy Period mein mahilaon ko kai tarah ki cheeze khane ki iccha hoti hain. Is period mein kai pregnant woman ko santra khane ki iccha hoti hain.

Santra ek aisa phal hain, Jise Pregnancy ke liye sabse safe aur surakshit phal mana jata hain. Vitamin C ke guno se bharpoor Santra garbhavati mahilaon aur uske garbh mein pal rahe bacche ke liye bahut hi faydemand hota hain. Vahi, Isme kai poshak tatv hote hain jo maa aur bacche dono ko fayda pahuchate hain.

Vitamin C se bharpoor hone ki wajah se yeh maa ke immune system yani ki rog-pratirodhak kshamta ko behtar banane ka kaam karta hain. Iske alawa yeh sharir mein Iron aur Zinc ki matra ka level banaye rakhne mein madad karta hain.

Ek research ke mutabik, Pregnancy period ke dauran Vitamin C ke bharpoor sewan se Infection aur dusri bimariya hone ka khatra kam ho jata hain. Isse hone wale bacche ka dimaag bhi healthy rahta hain.

Ek pregnant (garbhvati) mahila ko rojana ke hisaab 80 se 85 Milligram Vitamin C ka sewan karna chahiye. Halaki harek mahila ki garbhavstha ki situation alag-alag hoti hain. Aise mein apne Doctor se ek baar Salah jaroor le leni chahiye. Vitamin C ke sewan se bacche ka maansik vikas hota hain. Aise mein pregnancy period mein Orange ka sewan karna maa aur bacche dono ke liye bahut hi faydemand rahta hain.

Pregnancy mein Orange (Santra) khane ke kuch bemisal fayde aur benefits :- 



1. Folate ka accha source hain :- Yeh folate ka bahut accha source hain. Pregnant woman ke liye folate ek important tatv hain. Yeh Red Blood Cells ke production ke liye jaroori hota hain. Saath hi yeh naye cells ke nirmaan ko bhi protsahit karta hain. 

2. Kabz ki samsya ko door kare :- Santre mein bharpoor matra mein Fibers paye jate hain, Jisse kabz ki samsya nahi hoti hain. Pregnancy mein Kabz ki samsya ho jana ek aam problem hain. Agar aapke ghar mein kisi pregnant woman ko yeh problem hain toh aap usay Santra khane ki salah de sakte hain. 

3. Kidney mein stone ke liye :- Pregnancy mein niyamit roop se santre ka sewan karne se Urine ka PH level badh sakta hain. Aise mein Kidney ke stone ke upchar ke liye bhi iska sewan kiya jana behad faydemand hota hain. 

4. Sharir mein paani ki matra barkarar rakhe :- Pregnancy mein kisi bhi haalat mein sharir mein paani ki kami nahi honi chahiye. Is dauran yeh jaroori hain ki pregnancy mein woman prayapt matra mein paani peeti rahe. Aise mein Santre ka sewan karne se sharir mein paani toh milta hi hain, Saath hi yeh Fluid mein Sodium aur Potassium ki matra ko bhi balanced banaye rakhti hain. 

5. Tension door karne mein madad karta hain :- Pregnancy mein Santra khane se tanaav door hota hain, Kyonki isme Potassium paya jata hain, Jiski wajah se Blood pressure control mein rahta hain. Garbhvati mahilaon ko tension se door rakhne ke liye unhe Santra khane ki salah di jati hain.