Header Ads

Sinus ki problem se nijat paane ke gharelu nuskhe.

Home Remedies for Sinus problem in HINDI/URDU.
Har insaan ke chehre par naak ke chaaro aor kuch chidra hote hain, Jinhe Sinus kaha jata hain. Inme infection ko sinusitis kahte hain. Jise aam bolchal ki bhasa mein sinus problem bhi kaha jata hain. Jab yeh infection hota hain toh iske lakshan aankho aur maathe par mahsoos hote hain. Seerdard aage jhukne aur letne se badh jata hain.

Sinus problem ke lakshan :-

♦ Chehre par dard ka ahsaas hona. ♦ Sinus mein dabaav aur dard mahsoos hona. ♦ Naak jam hone ka ahsaas, cough, gale mein kharkharahat. ♦ Seer dard aur kabhi-Kabhi bukhaar ka hona bhi.

Sinus ke liye kiya jane wala sabse aam upchar operation hain, Lekin jyadatar mamlo mein yeh safal nahi hota hain. Isliye chaliye aaj hum aapko sinus infection ko door karne ke liye kuch khas gharelu nuskhe bata rahe hain (Home remedies for sinus problem in Hindi/Urdu)  :-

1. Pyaaz ka ras naak mein daalne se sinus ke seerdard se turant rahat milti hain.

2. Ek cup saaf gungune paani mein ek chammach Shahad aur ek Chauthai chammach Namak dale. Is ghol ko dropper ki madad se 2 boond naak mein dale. Isse sinus se rahat milti hain.

3. Garm Kapda ya phir garm paani ki bottle gaalo ke upar rakh kar sikaai karni chahiye. Isse sinus ke rogiyo ko bahut rahat milti hain.

4. Ek chammach methi ke daano ko ek cup paani mein 5 minutes ke liye ubaale. Iske baad is paani ko chhan le. Chai ki tarah is paani ko piye. Fayda hoga.

5. Ek Lahsun aur ek pyaaz ko ek sath paani mein ubaal kar bhaap lene se sinus ke seerdard mein labh hota hain.

6. Kamal Jad, Adrak aur Aata mila kar lep banaye. Is lep ko raat ko sone se pahle naak aur maathe par lagaye. Subah hote hi usay garm paani se dho le.

7. Sabziyo ka upyog sinus ki samsya mein sabse behatarin gharelu ilaj hain. Agar aap 300 ml Gajar ka ras, 100 ml Chukandar ka ras, 200 ml Palak ka ras aur 100 ml Kakdi ka ras mila kar roj piye toh sinus mein bahut jaldi fayda hoga.

8. Roj kacche lahsun ki ek kali khane se sinus infection se rahat milti hain.

9. Ek cup paani gunguna kar le. Is paani mein adrak ko baareek kaat kar dale. Kuch der baad chhan kar dheere-dheere is paani ko pee jaye. Rahat milegi.

10. Aadha cup paani mein kuch boonde eucalyptus tel ki dale. Is paani ko dhak kar ubaale. Phir steam le. Yeh sinus seerdard se turant rahat dene wala nuskha hain.

11. Roj subah niyamit roop se shahad jaroor khaye. Isse sinus se hone wali preshaniyo se rahat milegi.

12. Jab sinus ki samsya jyada preshan karne lage toh Sahjan ki phali ka soup, Lahsun, Pyaaz, Kali Mirch aur Adrak daal kar banaye. Is soup ko garma-garm peene se bahut labh hota hain.