Header Ads

Healthy Sperm ke liye jaroori hain yeh Vitamins.

Vitamins for Healthy Sperm.
Aaj kal ke zamane mein Tension ki wajah se bhi purusho ki fertility mein kami aa rahi hain. Diet mein vitamins ki kami ki wajah se kai saari bimariya hoti hain, Jisme sperm quality aur counts par bhi effect padta hain.

Kai baar Vitamins ki kami ki wajah se purusho ke sperm (Shukraanoo) ki quality aur counts par bura asar padta hain. Jiski wajah se grabhdharan karwane mein rukaavat aati hain. Saath hi kuch Vitamins ki kami ki wajah se purusho mein kaam-vaasna aur sex performance mein kami aa jati hain. Purusho ki fertility ke liye vitamins bahut hi jaroori hote hain. Aaiye jante hain aise hi vitamins ke bare mein jinse purush healthy sperm pa sakte hain.

Vitamin B12,Vitamin C, Vitamin E aur Folic Acid purusho mein sperm ki sankhya ko badhata hain. Agar aapke sperm ki sankhya kam hain ya quality kharab hain, Toh jyadatar aise mamlo mein Folic Acid ki kami se hota hain. Isliye aapko folic acid ke supplements lene ki koshish karni chahiye.

• Lycopene paudho mein paya jane wala Carotenoid Pigment hain. Tamatar aur Tarbooz ka lal rang iski wajah se hota hain. Agar aapki diet mein Lycopene ki kami hogi toh sperm ki quality kharab hogi. Saath hi fertility par bhi bura asar padega. Iske liye aap Lycopene ke supplements le. Isse ab jo nuksaan ho gya hain, Usse ubarne mein madad milegi.

• Vitamin E sperm ki quality ko behtar banata hain. Research se pata chala hain ki Vitamin E fertility ko takreeban 10% tak increase kar deta hain. Kuch logo mein sperm ki sankhya zyada toh hoti hain, Lekin fertility kam hoti hain. Vitamin E inke liye faydemand hain.

• Omega-3 Fatty Acid Sperm ke counts ko badhata hi hain, Saath hi yeh garbhadharan karwane mein labhkari hain. Research se pata chala hain ki Purusho mein agar sperm ki sankhya kam ho ya uski quality acchi nahi ho, toh aisa Omega-3 Fatty Acid ki kami ki wajah se bhi ho sakta hain.

• Selenium aur Zinc bhi sperm count ko increase karne wale hote hain. Brazil Nuts, Sea Food aur Tuna Fish jaise food mein is tarah ke minerals paye jate hain, Jo sperm ki sankhya ko badha kar fertility ko badhate hain.

• Research ke dauran jab Live Sperm Cells mein Vitamin D ko milaya gya, toh isse sperm mein activity aayi. Saath hi acrosome reaction bhi dekhne ko mila. Yun kahe toh Vitamin D purusho ki fertility ko badhane mein ahem role ada karta hain.

• Vitamin C aur E, Coenzyme Q10, Selenium aur N-acetylcysteine jaise AntiOxidants bhi sperm ki quality aur quantity ko badhane mein madadgar hote hain. Acche cellular Anti-Oxidants se sperm quality ke saath-saath iski gatisheelta bhi badhti hain, Jisse aakhirkaar sperm ki quality behtar hoti hain.

• Kya aapko pata hain ki Sperm ko ladies ke Egg tak pahuchane mein lambi doori tay karni padti hain. Iske liye healthy sperm ki jaroorat hoti hain, jo energy se bharpoor ho. Iske liye Carnitine kafi faydemand hota hain.