Header Ads

Skin Wart (Masse) door karne ke gharelu nuskhe.

Masse door karne ke gharelu upay aur nuskhe in Hindi/Urdu.
Masse aapki khubsurati par daag ki tarah dikhayi dete hain. Masse (Skin Wart) hone ki wajah pamplona virushain. Pamplona viruske aa jane se chote, khurdure kathor pind ban jate hain, jinhe massa kaha jata hain. Pahle masse ki samsya adhed umar ke logo mein jyada hoti thi, Lekin aaj kal youth mein bhi yeh problem hone lagi hain.

Normally Masse se dard nahi hota hain aur na hi koi dusri takhleef hoti hain. Lekin yeh dekhne mein behad ajeeb lagte hain. Agar aap bhi masso se preshan hain toh inse rahat paane ke liye kuch gharelu upay aur nuskhe apna sakte hain. Janiye masse door ya khatm karne ke gharelu nuskhe aur upay. (Home Remedies for Skin wart in Hindi/Urdu.) :-




Masse hone ki wajah : - Motapa, Pregnancy, Diabetes aur steroids ka bahut zyada sewan.


Gharelu Nuskhe :-

1. Kaccha Lahsun masso par laga kar oos par patti bandh kar ek hafte tak rahne de. Ek hafte baad patti kholne par aap payenge , Masse gayab ho gye hain.

2. Massey par nail polish laga kar kuch der baad saaf karle. Din mein 2 3 baar aisa karne se kuch hi dino mein masse jhad jayenge.

3. Hare Dhaniye ko pees kar uska paste bana kar rojana masso par lagaye.

4. Masso par niyamit roop se pyaaz malne se bhi masse gayab ho jate hain.

5. Aspirin ki ek goli paani mein mila kar paste banaye aur ise masso par lagaye. Aisa karne se kuch hi dino mein masse gayab ho jayenge.

6. Kele ke chhilke ko ander ki taraf se masse par rakh kar usay patti se baandh le. Aisa din mein 2 baar aur lagatar karte jaye , jab tak masse khatm nahi ho jate.

7. Thoohar ka doodh ya Carbolic Acid saavdhanipurvak lagane se masse nikal jate hain.

8. Floss ya dhaage se masse baandh kar 2 se 3 hafte tak chhod de. Isse masse mein khoon ka bahaav rook jayega aur veh khud hi nikal jayega.

9. Baking Soda aur Arandi ke tel ko barabar matra mein mila kar istemal karne se masse dheere-dheere khatm ho jate hain.

10. Ek pyaz ka ras nikale. Is ras ko niyamit roop se din mein ek baar masso par lagaye. Is upay se masso ki samsya door ho jati hain.

11. Taaze Mosambi ka ras masse par lagaye. Aisa din mein 3 ya 4 baar kare. Masse khatm ho jayenge.

12. Arandi ke tel ko niyamit roop se masso par lagaye. Isse masse naram pad jayenge aur dheere-dheere gayab ho jayenge.

13. Arandi ke tel ki jagah Kapoor ke tel ka bhi upyog kar sakte hain.

14. Bargad ke patto ka ras masso ke upchar ke liye bahut hi asardar hota hain. Bargad ke patto ka ras tavcha par lagane se tavcha saumya ho jati hain aur masse apne-aap gir jate hain.

15. Masso se jaldi nijat paane ke liye aap Aloe Vera Gel ka bhi istemal kar sakte hain.