Header Ads

Allergy se hain preshan toh apnayiye yeh tips.

Allergy ke tips in Hindi/Urdu.
Allergy ke tips kya hain?

Allergy ham mein se kisi ko bhi kisi food se, weather change hone par ya anuvanshik ho sakti hain. Jiske lakshan khas karke Sardi, Khujali, Naak bahna, Seerdard jaisi problems ho sakti hain. Agar aap allergy se peedit hain toh aap baar-baar Sardi-Jukam ke shikar ho sakte hain aur kai baar Asthma aur Saans lene mein dikkat bhi ho sakti hain.

Allergy hone ki wajah :-

Allergy ki problem hone ki kai wajah ho sakti hain, Jisme dhool, dhooaan, mitti ke kan, paudhe ki wajah se, phoolo ke soonghne se aur kai baar janwaro ke contact mein aane se bhi aur Medicine ke side-effect se bhi Allergy ho sakti hain. Zyadatar hum allergy ko seriously nahi lete hain. Lekin kai baar asaan sa dikhne wali allergy ki problem bade rogo ko bulawa de sakti hain. Iske liye sabse pahle yeh janna bahut jaroori hain ki allergy kis cheez se huyi hain aur phir uske baad khan-pan aur lifestyle mein kuch jaroori changes karke is samsya se asaani se bacha ja sakta hain.

Allergy ke lakshan :-

Allergy ke neeche likhe lakshan ho sakte hain.

Khan-pan mein allergy :- Bahut se logo ko khane peene ki cheezo se jaise Macchli, Ande, Chocolate, Doodh aadi se bhi allergy hoti hain.

Saans ki allergy :- Isme khansi, saans lene mein takhleef aur asthma jaisi samsya ho sakti hain.

Puri body ki allergy :- Kabhi-Kabhi kuch logo ko allergy se serious situation ka saamna karna padta hain aur puri body mein ek saath gambhir lakshan paida ho jate hain. Aisi situation mein turant hospital mein jana chahiye.

Aankh ki allergy :- Aankho ka lal hona, Paani aana, jalan hona, khujali hona aadi.

Skin ki allergy :- Skin ki allergy kafi common hain aur yeh baarish ke mausam mein bahut zyada paida hoti hain. Tavcha ki allergy mein skin mein khujali hona, daane hona, chakatte panda aadi hota hain.

Allergy se bachne ke tips :-

• Paltu Janwaro (Pets) se agar aapko allergy hoti hain toh unhe ghar mein na rakhe.

• Ek dum se thande se garm aur garm se thande environment mein na jaye.

• Jin khane wali cheezo se aapko allergy hain, unhe na khaye.


• Dhool-Mitti se bache, agar aapko dhool mitti wale environment mein kaam karna padta hain toh face mask pahan kar kaam kare.


• Ghar mein zyada se zyada khuli aur fresh air aane ka raasta banaye.

• Rajai-Gadde, Takiye ke cover aur bed sheets ko time-time par garm paani se dhote rahe.

• Ghar ke aas-paas Gandagi na hone de.

• Bike chalate waqt mooh aur naak par rumaal baandhe, Aankho par dhoop se bachne ke liye acchi quality ke sunglasses pahne.