Header Ads

Seb ka Juice peene ke fayde (Benefits of Apple Juice in Hindi/Urdu.)

Apple Juice peene ke fayde. Benefit of Apple Juice in Hindi/Urdu.
Seb ka Juice peene ke fayde. Benefits of Apple Juice in Hindi/Urdu. Rojana ek seb khao aur doctor ko door bhagao , yeh kahawat aap sabhi ne suni hi hogi. Lekin kai log aise bhi hote hain jinhe Apple ki jagah uska Juice peena zyada accha lagta hain. 

Agar aap Seb nahi kha pa rahe hain ya phir aapko seb khana accha nahi lagta hain to kam se kam Apple ka Juice nikaal kar jaroor pijiye, kyonki isse aapko Sirf Fiber ko chhod kar Seb mein paye jane wale sabhi tatv aapko milenge, Apple khane se ya phir Apple ka Juice peene se iske nutrients value mein koi khas kami nahi aati hain.

Daily sirf 1 glass Apple Juice peene se body mein Vitamins, Anti-Oxidants aur Minerals ki kami ko pura kiya ja sakta hain. Seb mein cholesterol nahi paya jata hain, Jiski wajah se Apple ko best fruit mana jata hain.

Aapko apne Breakfast mein Apple juice ko jaroor shamil karna chahiye. Jab aapko Apple Juice peene se health ko hone wale benefits ke bare mein pata chalega to aap bhi Apple Juice lover ban jayenge. Aaiye jane Apple Juice Yani ki Seb ka ras peene se hame kya kya fayde hote hain. 



Apple Juice Peene ke fayde :- 


1. Aankho ke liye hain best :- Apple ke Juice mein Vitamin A bharpoor matra mein hota hain jo aankho ki roshini badhaane mein bahut hi helpful mana jata hain. Apple ka juice rojana peene se aankho se related kai problems se chhutkara paya ja sakta hain.

2. Haddiya strong banaye :- Apple Juice mein Boron, Iron, Calcium, Vitamin C hote hain jo ek saath mil kar haddiyo ko majbooti pradan karte hain aur unhe strong banate hain.

3. Skin aur Hair ke liye :- Apple juice skin aur hair ke liye kafi faydemand hota hain. Iska juice khujali, sujan, jhurriyo aur phati tavcha ke ilaj mein istemal kiya jata hain. Baalo se dandruff ko door karne ke liye oos par Apple ka juice lagaye aur kuch ghanto baad baalo ko saaf paani se dhoye.

4. Heart ko healthy rakhe :- Apple mein mauzood Polyphenols, Anti-Oxidants aur Flavonoids heart ke liye bahut hi badhiya mane jate hain. Isme Potassium bhi hota hain jo dil ke liye kafi labhkari minerals mein se ek hain.

5. Cancer se bachaye :- Apple Juice hame Tumors aur Cancer se bachane mein madad karta hain. Khas taur par yeh hame fefdo ke cancer se bachane mein jyada faydemand hota hain.

6. Liver theek rakhe :- Seb mein Alkaline tatv hota hain jo liver se zehreele tatvo ko bahar nikaalta hain. Vaise to Seb ke chhilke mein pectin tatv hota hain jo pachan ko durust rakhta hain.

7. Kabz se chhutkara dilaye :- Apple mein Sorbitol hota hain jo kabz se chhutkara dilata hain.

8. Cholesterol kam karne mein madadgar :- Body mein zyada kharab cholesterol hone ki wajah se dil ki kai tarah ki bimariya hoti hain. Apple juice pee kar aap cholesterol ko kam kar sakte hain. Yeh cholesterol ko kam karne mein bahut hi faydemand hota hain.

9. Immune system ko strong banata hain :- Apple juice mein Vitamins aur Minerals paye jata hain jo body ki immunity ko boost karte hain. Yeh sharir ke immune system ko majboot banata hain , Jisse body ko bacteria aur virus aadi se ladne mein kafi madad milti hain.

10. Asthma se bachata hain :- Seb mein Flavonoids paya jata hain jo fefdo ke liye kafi faydemand hain. Flavonoid Fefdo ko healthy rakhta hain aur unhe majboot banata hain, jisse fefde sahi dhang se kaam karte hain. Apple ka juice daily peene se aap Asthma se bach sakte hain.