Diabetes mein Kaddu khane ke kya fayde hote hain?
Diabetes mein Kaddu khane se kya fayde hote hain? Benefits of Pumpkin in Diabetes in Hindi/Urdu.
Diabetes bahut hi khatarnaak bimariyo mein se ek bimari hain. Jis wajah se agar aap diabetes ke mareez hain to aapko bahut zyada khyaal rakhna padta hain. Diabetes ki bimari ko silent killer mana jata hain, jisme blood sugar level badh jata hain aur yeh control mein nahi rahta hain. Agar aap is bimari se peedit hain toh aapko preservative food (Packaged Food) khane se bachna chahiye.
Diabetes ke patient ko Broccoli, Beans, Salmon, Karela, Masoor ki daal, Salmon Fish aadi ka sewan karna chahiye. Aaj hum aapko aisi sabzi ke bare mein batayenge jo Diabetes ki bimari mein bahut hi faydemand hoti hain. Ji haan jaisa ki article ke title se hi pata chalta hain, Vah Sabzi hain Kaddu.
Kaddu ko aap chahe jaise marzi paka kar kha sakte hain, lekin agar aap ise bhaap mein pakayenge to yeh zyada fayda pahuchata hain. Lohe ki kadhai mein paka kar khane se aapko Iron bhi zyada matra mein prapt hota hain aur aapki sabzi bhi badi tasty banti hain.
Kaddu ka khane se aapko Vitamin C aur A bharpoor matra mein milte hain. Kaddu mein Potassium bhi bahut hi acchi matra mein hota hain. Kaddu ka sewan Diabetes ke mareez ko jaroor karna chahiye.
Aaiye jante hain Kaddu Diabetes ke patient ke liye kaise faydemand hota hain?
• Anti-Oxidants ka khazana :- Sharir mein Insulin ki matraa kam ho jane par diabetes ki bimari ho jati hain. Kaddu mein Anti-oxidants paye jate hain jo Insulin ko badhane mein madad karte hain. Isliye diabetes ke rogi ko kaddu ka sewan jaroor karna chahiye.
• Iron ka accha source :- Kaddu ke beej mein Iron kafi jyada hota hain aur fat na ke barabar hota hain, Isliye ise dil ke liye accha mana jata hain. Agar aap iske crunchy snacks bana kar khate hain to aapko koi nuksan nahi hota hain.
• Vitamin C ka khazana :- Kaddu mein Vitamin C bharpoor matra mein hota hain. Vitamin C acchi matra mein hone ki wajah se Insulin banta hain aur badhi huyi diabetes control mein aa jati hain.
• Folic acid :- Kaddu mein Folic Acid bharpoor matra mein hota hain. Jo body mein Nitric acid ki matra ko kam karne ka kaam karta hain. Yeh aapki body ke process ko sahi dhang se kaam karne mein madad karta hain. Isliye Kaddu ko diabetes ke mareez ko jaroor khana chahiye.
Bahut zyada matra mein kaddu ka sewan nahi karna chahiye. Kyonki kisi bhi cheez ki zyadati hamesha nuksandeh hi hoti hain. Isliye hafte mein kam se kam 2 baar Kaddu khane se diabetes ki bimari ko theek kiya ja sakta hain. Kaddu ko khane se sharir ki kai tarah ki allergy bhi door ho jati hain.
Post a Comment