Header Ads

Papite ke patto ka juice peene ke fayde.

Papite ke  pattiyo ka juice peene ke fayde.
Papite ke patte ka juice peene ke fayde. Benefits of Papaya Leaf Juice in Hindi/Urdu. Papita ke patto ka juice kyon peena chahiye?

Papita ke patte apne medical guno ki wajah se jane jate hain. Papite ke patto se aap kai saari bimariyo ko door bhaga sakte hain. Papite ke patte chahe swaad mein kadwa lage lekin isme itne jyada gun paye jate hain jisse yeh ek chamatkari aushidhi ban jate hain. Papite ke patto mein Vitamin A, B, C, D aur E ke alawa Calcium bahut hi acchi matra mein hota hain.

Agar aap apni acchi sehat ke liye jagrook hain, to papite ke patto ka istemal jaroor kare. Inke istemal se khatarnaak rog jaise cancer, dengue, Blood Sugar, dil ki bimari aur aanto mein rahne wale bacteria ko khatm karne mein madad milti hain. Papite ke patte body ki immunity ko bhi boost karte hain.

Papite ke chhote-chhote patte dengue ko door karne mein madad karte hain. Papite ke patto ka juice nikaal kar dengue ke mareez ko pilane se khoon ke plates phir se badhne lagte hain.

Aap chahe to Papite ke patto ka juice dusre fruits ke juice ke saath mix karke bhi mareez ko pila sakte hain. Aaiye jante hain Papite ke patto ka juice peene se hame kya kya fayde hote hain.

Papite ke pattiyo ka juice peene ke fayde.

1. Dengue mein bahut zyada faydemand :- Dengue se ladne mein papite ki pattiya bahut hi jyada faydemand mani jati hain. Yeh blood mein tezi ke saath gir rahe plates ko phir se badhaane, Khoon ke thakke jamne ko rokte hain. Liver ko damage hone se bachate hain, Kyonki dengue Virus ki wajah se in sabhi problems ka saamna karna padta hain. Isliye papite ke patto ka ras dengue ke ilaj ke liye kargar mana jata hain.


2. Bhookh badhata hain :- Agar aapko bhookh na lagne ki preshani ho gyi ho toh Papite ke patte ki chai bana kar piye, Isse aapki khoyi huyi bhookh dubara se vaapis laut aati hain.


3. Body ki immunity ko badhaye :- In chamatkari pattiyo mein body ki immunity ko badhane wale gun paye jate hain. In pattiyo mein sardi-jukaam se ladne ki capacity hoti hain. Yeh blood mein white cells aur plates ko increase karne mein help karte hain.


4. Blood plates badhane mein kargar :- Papite ke patto ka juice peene se khoon mein plates ki kami ko pura kiya ja sakta hain. Is chamatkari patto mein khoon mein blood plates ko badhane ke gun paye jate hain. Iske liye Papite ke patto ka ras rojana 2 chammach kuch dino tak peena chahiye.


5. Periods ke dard mein rahat dilaye :- Period ke dard se rahat pane ke liye ek kadha banaye jisme 1 papite ki patti ko Imli, namak aur 1 glass paani ke saath mix kare. Phir ise ubaale aur kadha bana kar thanda karke piye. Isse aapko period ke dard se kafi aaram milega.


6. Pimples khatm kare :- Agar aap pimples ki problems se preshan hain toh papite ki sukhi pattiyo ko lekar paani ke saath mix karke paste bana le. Phir is paste ko chehre par laga kar sukha le aur phir paani se chehre ko dho le. Isse kuch hi dino mein aapke pimples door ho jayenge.


7. Cancer hone se bachaye :- Papite ke patto mein Cancer rokne wale tatv hote hain. Yeh immunity ko badhata hain aur cervical cancer, breast cancer, liver cancer, fefdo ke cancer hone se rokne mein madad karta hain.


8. Malaria mein bhi labhkari :- Papite ke patte Malaria se bhi ladne mein asardar hote hain. Papite ke pattiyo ka ras malaria ko badhne se rokta hain. Malaria aur Dengue dono hi maccharo ke kaatne se hota hain. Papite ke patte ka juice dono rogo mein bahut hi faydemand hota hain.


9. Bacteria ko khatm kare :- Papite ki pattiyo mein 50 Active ingredients hote hain jo ki bacteria, fungus, parjeevi, virus aur cancer cells ko badhne se rokti hain.