Demo Clock mein 10:10 Time hi kyon set hota hain?
Clocks ke advertisement aapne bahut hi dekhe honge aur kai logo ne ek se badhkar ek mahngi aur fancy gadhiyon ka shaunk bhi paal rakha hoga. Lekin jab aap kisi demo clock ko dekhte hain to usme 10:10 time set hota hain. Lekin aise kyon hota hain?
Aapne ghadiyo ke ads bahut dekhe honge lekin kabhi is baat ko notice kiya hain ki advertisement mein dikhaayi jane wali clock ya kisi store mein ghadi ki sui 10.10 par hi kyon ataki hoti hain. Shayad aapko iske baare mein jankari nahi hogi, Lekin hum aapko iske kuch reason batayenge ki aakhir aisa kyon hota hain?
Sabse pahle is time par yani ki 10:10 par jab aap clock ko dekhenge to aapko aisa lagega jaise ghadi smile kar rahi hain. Aapne hasne wale smiley to dekhe hi honge, Jab ghadi mein 10-10 ka samay hota hain to veh bhi aise hi lagti hain. Bahut si wajaho mein se yeh bhi ek aham wajah hain.
Dusri wajah yeh hain ki jab aap is waqt (10:10) time dekhte hain to V ka sign nazar aata hain jo victory ko darsaata hain, Yani ki jeet, yeh bhi wajah hoti hain demo clock mein 10:10 time set karni ki.
Sabse bada reason yeh hain ki advertisement mein dikhaayi jane wali ghadiyo mein is time ko set karne se brand ka naam aur logo saaf saaf dikhaayi deta hain.
Kuch logo ka aisa bhi manna hain ki jis waqt duniya ki pahli ghadi bani thi ya phir puri hui thi, oos waqt yeh time raha hoga. Isliye clock ka default time 10:10 hi set kar diya gya.

Post a Comment