Header Ads

Diamond Facial karwaane ke fayde.

Diamond Facial karwaane ke fayde.  Benefits of Diamond Facial in Hindi/Urdu.
Diamond Facial normal facial se kanhi zyada faydemand hota hain. Aaj hum janenge ki Diamond Facial kya hota hain? Diamond Facial karwaane ke kya fayde hote hain? Yeh facial dusre facial ke mukable kaise alag hain aur iske benefits kya hain? Aayiye jante hain :- 


Diamond Facial kya hain? 

Diamond ek aisi jewelry hain jo kisi ki bhi ungli mein chaar chaand laga deti hain, kisi bhi gale ko sundar bana deti hain. Ya phir hum kah sakte hain ki yeh ladies aur girls ki sabse pahli pasand hoti hain. Koi bhi ladki yehi chahti hain ki uska lover kabhi na kabhi usay diamond ki ring jaroor gift kare. Lekin kya aapko pata hain ki diamond sirf jewelry hi nahi hain balki beauty ko badhane ke liye iska istemal facial ke roop mein bhi kiya ja sakta hain. Isse skin se related kai problems ka ilaj kiya ja sakta hain. Yeh bejaan aur dry skin ke liye accha saabit ho sakti hain. Iski sabse badi khasiyat yeh hoti hain ki ise umardaraaz ladies bhi iska istemal kar sakti hain. Aaiye jante hain Diamond facial karwane ke kya-kya fayde hote hain. 


Diamond Facial karwaane ke fayde :- 

• Badhti umar ko roke :- Present time mein unbalance lifestyle, unhealthy eating habits aur tension ki wajah se early age mein hi skin par bura asar dikhaayi dene lagta hain. Aise mein diamond facial faydemand hota hain. Yeh skin se zehreele tatvo ko bahar nikaalta hain. Yeh cells ko active kar deta hain jisse skin ki metabolism process fast ho jata hain. Isse skin mein kasavat aati hain aur skin mein bedaag nikhaar aata hain. 

• Special feel karwaye :- Ji haan, Diamond facial karwaane ke baad aap apne aapko special hone ka ahsaas karne lagengi. Ise karane ke baad aapko andar se sukoon milega, Jisse aapki tavcha mein nikhaar aane mein madad milti hain. Agar aapke mind mein acche thoughts aayenge to aapki skin ki silvatein door ho jayengi aur aap jyada khoobsurat dikhengi. 

• Exfoliate karna :- Dunia bhar mein diamond ka istemal skin ko exfoliate karne ke liye kiya jata hain. Kyonki yeh dusre tatvo ke mukable jyada asarkari hain aur iska result bahut jaldi dekhne ko milta hain. Diamond facial skin se dead cells ko hatata hain aur chehre par nikhaar lata hain. 

• Tanning door kare ;- Dhoop mein nikalne ki wajah se suraj ki khatarnaak ultra violet rays ki wajah se tanning ki problem hona lazmi hain. Tanning ki problem ko door karne ke liye dusre tariko ke mukable diamond facial zyada faydemand rahta hain. Isse tanning ke saath-saath Black heads ki problem bhi door hoti hain. 

Diamond Facial ke liye jaroori cheeze :- 


Diamond facial kit lekar aap ise apne  ghar par khud bhi istemal kar sakti hain. Iske liye aapke paas Diamond scrub, Jisme natural cheeze- Phoolo ka ark, essential oil,  walnut ke saath diamond ash hota hain. Iske alawa Diamond detoxifying lotion (Yeh skin ko saaf kar soft banati hain), Diamond massage gel (isme anti-aging gun hote hain, yeh skin mein kasaavat laati hain.) aur diamond face mask (Yeh tanning door kar tavcha mein nikhaar laata hain) hona chahiye. Inke istemal se aap apni tavcha ko nikhaar sakti hain.