Header Ads

Haldi wala doodh banane ka sahi tarika (Recipe).

Haldi wala doodh banane  ka sahi tarika. Best recipe for make Turmeric Milk in Hindi/Urdu.
Haldi wala doodh peene ke fayde ke bare mein aapko pata hi hoga, agar Haldi wala doodh peene ke fayde ke bare  mein nahi pata hain to Hinglishpedia par iske baare mein pahle bhi bataya ja chuka hain. Jo aap Is Link :- Haldi wala doodh peene ke fayde Par click karke padh sakte hain.

Haldi ke doodh ko Ayurveda mein amrit tak kaha gya hain. Yeh golden turmeric milk ko apni diet mein shamil karke aap kai bimariyo aur infections se bach sakte hain. Lekin in sabke baawjood  Haldi wala doodh kaise banaye? iske banane ka sahi tarika kya hain? Iske baare mein jyadatar log anjaan hain. Aaj hum aapko Haldi wala doodh sahi  tarike  se kaise banaya jata hain, iski recipe kya hain? iske baare mein batane ja rahe hain. Taki aapko Turmeric Milk pee kar jyada se jyada fayda ho sake.

Haldi wala doodh banane ki sahi vidhi :- 

Haldi ki gaanth ya tukade le :- Haldi ke 1 inch ke tukde ya gaanth ko le, kyonki Haldi powder haldi ke tukado ki tarah utna zyada asarkari nahi hota hain. Kyonki haldi powder ko banate samay jab ise peesa jata hain to garmi ki wajah se Haldi ki garmi paida karne ki power mein kami aa jati hain. Isliye Haldi wala doodh banane ke liye gaanth ya haldi ke tukde lene chahiye. Phir aap usay crush kare.

White Pepper daale :- Phir thodi si mirch ke daane crush kare. Kali mirch ki jagah aap safed mirch ka istemal kare. Kyonki safed mirch se aankho ki roshini badhti hain. Ab aap aadha glass doodh lekar, usme 1 cup paani  aur usme aadhi chammach crush ki gyi haldi aur mirch ko milakar acchi tarah se ubaale.

Kam se kam 20 Minutes tak boil kare :- Is mixture ko 20 minutes tak boil kare. Is samay tak doodh ab  ek cup jitna ho jayega. Isliye isme paani milane ki salah di jati hain, Kyonki paani na milaane ki wajah se 20 minutes mein Haldi wala doodh kheer ki tarah ho jayega. Aur ise peena sahi nahi rahega.

Jaroorat ke anusaar Chine ya Shahad daale ;- 20 Minutes ubaalne ke baad, gas ko band karke, is mixture ko utaar kar chaan le. Phir usme chini ya shahad milaye. Phir pijiye garma-garm haldi wala doodh.

Khansi ki problem ho to aap deshi ghee bhi mix kar sakte hain :- Agar aap gale ki kharash se rahat paana chahte hain toh haldi wala garma garm doodh peene se pahle aadha chammach deshi ghee bhi mila sakte hain. Ghee acchi tarah se peeghal kar aapki gale  ko rahat dega aur khansi se bhi aaram milega.

Is healthy drink ko araam se peene se aapko good feel hoga aur bimariyo se bache rahenge.