Header Ads

kaise kare shuddh shahad ki pahchan?

Shuddh Shahad ki Pahchan kaise kare? How to know that is Honey is pure ?
Shahad ka istemal har ghar mein hota hi hain, kyonki yeh ek aisi cheez hain jo sehat ke lihaaz se bahut hi jyada faydemand mani jati hain. Suddh aur asli khalis shahad mein Vitamin, Protein, Minerals aur Amino Acid paya jata hain. Kuch log isliye shahad nahi khate hain ki unhe shaq hota hain ki baahar ka khareeda hua shahad kya pata pure hoga ki nahi.

Market mein Shahad ke kai brands aur companies hain jo yeh daawaa karti hain ki unka honey 100% pure aur ekdum asli hain. Lekin yeh kaise pata lagaye ki shahad asli aur shuddh hain? Aap market mein honey ki bottle ko khol kar uski quality ko usi waqt to nahi na test karenge? Lekin agar aap chahe to apne ghar mein apne hisaab se shahad ki parakh aur jaanch kar sakte hain ki Shahad asali aur shuddh hain ki nahi?

Honey ki bottle le kar hum uska khoob istemal karte hain, kai baar hum sochte hain ki yeh madhu hame fayda kyon nahi pahucha rahi hain? Iski wajah yeh hoti hain ki shahad mein milavat hogi to vah aapko kaise fayda pahucha payegi?

Aaj hum aapko kuch aise tips ke baare mein batayenge, Jisse asaani se shahad ke shuddh hone ki pahchan ki ja sakti hain.

Aaiye jante hain kaise kare shuddh shahad ki pahchan? How to test Pure natural honey in Hindi.


○ Paani se jaanch kare :- Ek glass paani mein ek chammach shahad daale. Agar yeh shahad paani mein neeche baith jaye to yeh asli shahad hoga. Agar yeh shahad paani mein neeche na baithe aur paani mein ghul jaye to samajh lijiye yeh milavati aur nakali shahad hain.


○ Bread par laga kar test kare :- Ise breakfast ke samay aap test kar sakte hain. Shahad ko jab aap bread par lagayenge to vah hard ho jayegi. Lekin agar shahad mein koi milavat hogi to bread naram aur geeli hi rahegi.


○ Alcohol ke jariye jaanch kare :- Shahad aur Sharab ko lekar ek glass mein daaliye. Agar shahad shuddh hoga to gaanth ban jayega aur agar shahad ashuddh hoga to sharab mein ghul jayega. Experiment khatm hone ke baad Shahad milky white rang ka dikhega.


○ Khareedne se pahle label ko pura padhe :- Shahad ki bottle khareedne se pahle label ko padh lena chahiye, isse aapko pata lagega ki kanhi isme koi milavat to nahi na ki gyi hain.


○ Shahad ki mahak se pata lagaye :- Agar shahad shuddh nahi hoga to vah badboo marega. Saath hi aapko isme safed rang ka padarth tairta hua nazar aayega. Accha yahi hoga ki aap ise turant phenk de. Shuddh shahad mein ek halki si mahak aati hain jo soonghne par bilkul bhi buri nahi lagti hain.


○ Paper test :- Is test ko karne ke liye bloating paper le. Phir uspar kuch boonde shahad ki daale. Agar vah milavati shahad hoga to paper usay sokh lega, lekin pure honey paper par hi rahega. Aap yeh kaam tissue paper se bhi kar sakte hain.


○ Kapde par test kare :- Ek kapde par shahad ki kuch boonde daale. Nakli shahad ko kapda sokh lega. Iske alawa kapde par laga shahad ko dhone ke baad, agar kapde par daag pad jaye to shahad nakali hain.


○ Sardiyo mein Shahad jam jata hain aur garmi mein pighal jata hain.


○ Aag par test kare :- Ek mombatti jalaye aur ek lakdi par rooi lapet kar oos par shahad lagaye. Phir shahad lagi rooi ko aag ke upar rakhe. Agar rooi jalne lage to shahad pure hain. Nahi to shahad mein paani ya kuch aor milaya gya hain.


○ Garm karke dekhe ;- Agar shahad ko garm kiya jaye to vah gadha ho jata hain, lekin shahad nakli ya ashuddh ho to usme se bubbles uthane lagte hain.