Skin ko fresh rakhne ke 5 asaradar gharelu nuskhe.
Summer season mein heat aur sweat ki wajah se aapke face ka bura haal ho jata hain. Lekin is mausam mein agar aap kuch aise gharelu nuskhe ka istemal karenge to aap apne chehre ko fresh aur taro-taza rakh sakengi. Aaiye jante hain 5 aise asardaar gharelu nuskhe ke baare mein jinhe apna kar aap apne face aur skin ko fresh rakh sakengi. Home remedies for fresh skin & face in Hindi/Urdu.
• Coffee se hongi hatheliya soft :- Agar aapke haath ki hatheliya aur pair ke talwe khurdure hain to aap Badam ke doodh aur Coffee ka mishran try kijiye. Isse aapke haatho aur pairo mein ek nayi freshness dikhayi degi. Badam Antioxidants aur Vitamin E se bharpoor hota hain to Coffee aapki skin ko ek naya nikhar deti hain. Is gharelu nuskhe ko try karne ke liye 2 cup badam ke doodh ke saath subah ki bachi huyi coffee milaye. Iske baad is mishran se apni hatheliyo ki maalish karle aur aapko fark dikhayi dene lagega.
• Lal pyaaz kare kale dhabbe gayab :- Jyada der tak dhoop mein rahne se skin ki garnthiyo mein melanin banna shuru ho jata hain. Melanin veh tatv hota hain jo aapki skin ko khas rang deta hain. Isliye jyada dhoop mein rahne se chehra kala aur thandi jagah par rahne se chehra gora ho jata hain. Lekin aapko jankar bahut hi accha lagega ki aapke chehre par dikhayi dene wale kale dhabbo ka ilaj aapke kitchen mein hi chhipa hua hain. Bas aapko ek lal pyaaz ke 1/4 hisse ka ras nikaal kar fresh nimbu ke ras ke saath milana hain. Ab is mixture ko jaha jaha par kale dhabbe pad gye ho vaha par apply karna hain. 10 se 15 minutes baad ek cleanser se facewash karna hain. Uske baad aap dekhengi ki aapke kaale dhabbe kaise kam hote chale ja rahe hain.
• Nariyal tel baalo ka dryness :- Agar aap apne baalo ke dryness se preshan hain to nariyal ka tel aapke liye bahut hi faydemand saabit hoga. Nariyal ka tel thanda hone ki wajah se yeh aapke baalo mein moisturizing ka bhi kaam karta hain. Duniya bhar ke hair experts baalo ko shampoo karne ke baad 1 chammach Nariyal ka tel lagane ki salah dete hain. Is tel ko 10 -15 minutes baalo par lagane ke baad thande paani se dhoya ja sakta hain. Isse aapke baalo ko moisturizing bhi mil jayega aur baalo ka rukhapan bhi door ho jayega.
• Pudine ki chai skin ko banaye taro-taza :- Agar aap chai peene ke saukin hain to normal chai ki jagah pudine wali chai pijiye. Is chai ko peene se aapki skin mein ek nayi chamak aa jati hain. Iske alawa yeh stress ko bhi door karne ka accha upay hain. Pudine ki chai ko market se khareeda ja sakta hain. English mein ise peppermint tea ke naam se marketing ki jati hain.
Post a Comment