Header Ads

Kheere ka paani peene ke fayde. Benefits of Cucumber Water in Hindi/Urdu.

Kheera ka paani peene ke fayde. Benefits of Cucumber water  in Hindi.
Kheere ko garmi door karne wala food mana gya hain. Jab garmi badhti hain to aapko apne khane mein Kheere  ko jaroor shamil karna chahiye. Kyonki Kheere mein dher saara paani hota hain, Jo aapko garmi ke mausam mein bhi tarotaza rakhne mein madad karta hain.

Aapne aksar suna hoga ki jyadatar dietitian Kheere ka paani peene ki bhi salah dete hain. Kyonki Kheere ka paani immune system ko strong banane aur garmi ke mausam mein sharir ko active banaye rakhne mein madad karta hain.

Kheere ka paani banane ke liye aapko kheere ke kuch tukde ko paani ki bottle ya glass mein daalna hain, jab aapko pyaas lage ise pijiye. Sharir ko thanda rakhne ke saath Kheere ka paani peene ke aur bhi kai fayde hote hain.

Aaiye jante hain kheere ka paani peene ke kya-kya fayde hain? Health Benefits of Cucumber Water in Hindi/Urdu.

Kheere ka paani peene ke fayde :-

○ Cancer se bachaye :- Puri duniya mein cancer bahut hi tezi ke sath phail raha hain. Aaj world ke lagbhag 10 lakh se jyada log cancer se peedit hain. Cancer se bachne ke liye kheere  ka paani aapki madad karta hain. Kyonki isme Vitamin, Minerals aur Cancer se ladne wale Cucurbitacin jaise poshak tatv hote hain. 


○ Skin ko moisturize kare :- Paani peene se vaise bhi skin moisturize aur chamakdaar banti hain. Lekin jab aap paani mein kheere ke tukde daal dete hain to yeh ek healthy drink ban jata hain. Jo skin ko aur bhi jyada fayda pahuchati hain, isse tavcha sundar aur glowing  banti hain. Iske alawa kheere mein silica tatv hota hain jo skin ke liye khas taur par faydemand hota hain. 


○ Vitamin C milta hain :-  Jab aap saada paani peete hain to usse aapko koi vitamin nahi milta hain. Lekin jab aap Kheere ke tukde ko paani mein mila dete hain aur yeh kheere wala paani peete hain to aapko minerals ke saath saath Vitamin A aur C bhi asaani se mil jate hain. 


○ Body ko detoxify kare :- Kheere mein Anti-oxidant gun hota hain jo body se zehreele padartho ko bahar nikaalne mein madad karta hain. Isliye kheere ka paani pee kar aap apne sharir ko detoxify bhi kar sakte hain


○ Pet dard kam kare ;- Kheere mein calorie na ke barabar hoti hain, Isliye bhookh lagne par ise khane se bhookh shant ho jati hain aur aapka wazan bhi nahi badhta hain. Usi tarah Kheere ka paani pee kar bhi aap apni bhookh ko control kar sakte hain. Isse aap high calorie wale food ko khane se bach sakte hain. 


○ Aapko freshness deta hain :- Kheere  ka paani din mein peene se sharir mein nami barkarar rahti hain. Sharir ka moisturizer jaroori hain kyonki body ka temperature sahi banaye rakhne mein madad karti hain. Isse sharir se zehreele  tatvo ki bhi safai hoti hain. 


○ Muscles ko healthy rakhe :- Kheere mein mauzood silica skin ke saath saath muscles ko bhi healthy banaye rakhne mein madad karta hain. Ek glass daily cucumber water peene se behtar aur healthy muscles banti hain. 


○ Blood pressure control mein rakhe :- High BP sharir ke liye accha nahi hota hain. High BP ki wajah se aapko heart attack, stroke jaisi bimariya hone ka khatra bana rahta hain. Lekin jab aap kheere ka paani peete hain to BP control mein rahta hain. Kyonki kheere mein potassium hota hain.