Ghunto ka dard (knee pain) door karne ke gharelu upay aur nuskhe.
Kya aap bhi ghutne ke dard ya jod dard ya arthritis ki problem se preshan hain toh aapko ghabraane ki jaroorat nahi hain. Aaj hum aapko Ghutne ka dard door karne wale kargar gharelu nuskhe aur upay ke batayenge. Knee pain se nijat dilaane wale yeh tips aapki bahut madad karenge.
To jante hain ghutne ka dard aur jod dard se aaraam paane ke liye kya karna chahiye? Ghunto ke dard se chhutkara dilane wale gharelu nuskhe aur upay. Home remedies for Knee Pain in Hindi/Urdu.
Ghutno ka dard door karne wale nuskhe aur upay :-
• Ghunte ke dard se nijaat paane ke liye aap Neem ke tel mein Arandi ka tel barabar matra mein mila kar subah-shaam gunto ki maalish kare. Isse aapko dard se bahut hi jyada aaram milega.
• Methi ke beej jodo ka dard door karne mein maahir hain. Ek chammach Methi ke beejo ko raat bhar saaf paani mein bhigoye. Subah paani se methi ke beejo ko chhan le aur methi ke beej acchi tarah se chaba kar khaye. Jab aap Methi ke beej khayenge toh yeh kadwa lagega, Lekin dheere dheere kuch samay baad yeh meetha lagne lagega. Ayurved mein Methi ke beej ki taasir garm maani gyi hain. Isi wajah se yeh jodo ke dard ko door karne mein madad karti hain.
• Rojana subah khali pet ek lahsun ki kali Dahi ke saath 2 mahino tak lene se ghutno ke dard mein bahut zyada fayda milta hain.
• Agar calcium ki kami hone ki wajah se jodo ka dard ho toh Khane wala Choona khaye. Genhu ke size ka choona Dahi ya Doodh mein mila kar din mein 1 baar 90 dino tak pijiye. Lekin yeh upay aapko sirf 90 dino tak hi karna hoga. 90 Dino se jyada is upay ko na kare.
• Ghunte ka dard kam karne ke liye garm ya thande pad se sikaayi kare.
• Methi ke daano ko kadhaai ya tawey par gulabi hone tak senk le. Thanda hone par ise pees le. Rojana subah khali pet is powder ka aadha chammach 1 glass paani ke sath le.
• Garm tel ki malish karna bhi Knee pain mein faydemand rahta hain. Ek bada chammach Sarso ke tel mein lahsun ki 2 kaliya kuchalkar daal de. Ise tab tak garm kare jab tak lahsun pak na jaye. Aanch se utaarkar is tel ko halka garm hone par jodo aur ghutno ki maalish kare. Yeh aapko dard se turant aaram dilata hain. Is tel mein muscles ki sujan ko door karne ka gun bhi hota hain. Knee pain relief dilaane ke liye yeh bahut hi kargar totka hain.
• 30 Ki umar ke baad Methi ke daane ko faankne se body ke joints majboot bante hain aur budhape tak Diabetes, Blood pressure aur Gathiya jaise bimariyo se bachaav hota hain.
• Rojana subah khali pet ek chammach peese huye methi daane mein 1 gram Kalaunji mila kar faanke.
• Rojana Nariyal ki giri khane se bhi ghutno ko takat milti hain.
• Lagatar 20 dino tak Akhrot ki giri khane se bhi ghutno ka dard door ho jata hain.
• Methi ke laddu khane se bhi haath-pair aur jodo ke dard se aaram milta hain.
• Rojana 3-4 Chhuhaare ya khajoor khane se bhi ghunto mein taakat aati hain. Haddiyo ko majboot banane ke liye Calcium ka sewan karna jaroori hain. Calcium ki 500 mg ki goli subah-shaam lete rahe. Doodh, Dahi, Macchli aur Broccoli mein bharpoor matra mein Calcium paya jata hain.
• Ankoorti methi ke daane khayiye aur ise khane ke baad aadhe ghante tak kuch na khaye.
• Ghutno mein tez dard hone par aaram karne ki salah di jati hain taki dard aur sujan ko kam kiya ja sake. Physiotherapy mein physiotherapist kai tarah ke process ke jariye ghutne ka dard aur sujan ko kam karne ki koshish karte hain.
• Gajar mein joint pain ko door karne wala gun paya jata hain. China mein hazaaro saalo se gajar ka istemal jodo ka dard door karne mein kiya jata raha hain. Gajar ko pees lijiye aur Isme thoda sa nimbu ka ras mila kar rojana khaye. Yeh knee ke ligaments ko poshan dekar pain remover ka kaam karta hain.
• Methi ke daane, Saunth aur Haldi barabar matra mein mila kar pees le. Rojana subah-shaam khana khane ke baad garm paani ke saath 2-2 chammach ise lene se fayda hota hain.
• Ghunto ka lacheelapan badhane ke liye Dalchini, Jeera, Adrak aur Haldi ka istemal bahut hi upyogi saabit hota hain. In cheezo mein aise tatv paye jate hain jo knee swelling aur pain ko door karte hain.
• Pyaaz sujan ko kam karne wala mana jata hain, Jis wajah se yeh knee pain mein bhi faydemand saabit hoti hain. Darasal pyaaz mein Phytochemicals paye jo immune system ko strong banate hain. Pyaaz mein paya jane wala Sulphur joints mein dard paida karne wale enzymes ka production rokta hain. Ek naye research se yeh saabit hua hain ki pyaaz mein morphine ki tarah pain reliever gun hote hain.
• Methi ke daane ko dardara koot kar sardiyo mein 2 chammach aur garmiyo mein ek chammach subah-subah khali pet paani ke saath le.
• Haldi powder, Gud aur Methi dana powder mein paani barabar matra mein mila kar garm karke inka lep, raat ko ghutno par kare aur patti baandh kar so jaye. Subah patti ko khol kar saaf karle aur hata le, Phir raat ko yahi dohraye, Kuch dino tak aisa karne se aapko jabardast fayda mahsoos hone lagega.
• Agar ghutno mein chiknaayi khatm ho gyi hain aur jodo ke dard se kisi bhi tarah ki dawaa se aaram na mil raha ho toh aise mein Haarsingaar (Paarijaat) ped ke 12 patto ko koot kar 1 glass paani mein ubaale. Paani jab ek chauthai bach jaye toh bina chhane is paani ko thanda karke pee le. 90 dino mein Chikanayi puri tarah se vaapis mil jati hain. Agar kuch kami rah jaye toh 1 mahine ka gap dekar phir 90 dino tak isi upay ko dohraye, Definitely aapko isse fayda hoga.
• Methi daane hamesha subah khali pet jabki dophar aur raat ko khana khane ke baad aadha chammach paani ke saath lene se sabhi tarah ke jod majboot banenge aur jodo mein kisi bhi tarah ka koi dard nahi rahega.
• Alsi ke daano ke saath 2 Akhrot ki giri khane se jodo ke dard mein aaram milta hain.
Post a Comment