Healthy rahne ke liye apnayiye yeh Top 10 tips.
Hum sabhi log healthy aur sehatmand rahna chahte hain. Koi nahi chahta ki vah bimaar pade, Lekin kai baar hum apni kharab lifestyle ke chalte bimaar pad jate hain. Lekin aaj ki post mein hum aapko healthy rahne ke liye 10 top tips ke bare mein batane ja rahe hain, Jinhe follow karke aap sehatmand rah sakte hain.
1. Healthy rahne ke liye daily koi na koi exercise jaroor karni chahiye. Isliye aapko rojana kam se kam aadha ghanta kasrat jaroor karna chahiye. Acche results ke liye aap exercise karne ke tarike ko badlte rahe, maslan jaise kabhi aerobics kare, to kabhi sirf running kare. Agar aap exercise ke liye time nahi nikaal pa rahe hain to office ya ghar ki seedhiyaan chadhne-utarne ka rule bana le. Koshish yeh kare ki office mein aap ek hi position par lambe waqt tak na baithe rahe.
2. Apni diet mein hamesha fresh fruits aur sabziyo ka istemal kare. Khane wali cheeze jaise masale, anaaz aur dusri cheezo ko acche tarah se store kare aur expiry date wali cheezo ka khas khyaal rakhe.
3. Khane mein Salad, Dahi, Doodh, Daliya aur Hari sabziya aur Saaboot anaaz ka istemal jaroor kare. Hamesha yeh koshish kare ki aapki plate mein Variety of Food shamil hona chahiye. Khana pakaane aur peene ke liye saaf paani ka istemal kare. Sabziyo aur phalo ko acchi tarah se dho kar istemal mein laaye.
4. Bahar se ghar mein aane se pahle, Kisi bahari cheez ko haath lagane ke baad, khana banane se pahle, khana khane se pahle, khane ke baad aur bathroom ka use karne ke baad haath acchi tarah se saabun se dhoye. Agar aapke ghar mein chota baccha hain tab toh yeh bahut hi jaroori ho jata hain. Usay haath lagane se pahle apne haath acchi tarah se saabun se dhone chahiye.
5. Healthy rahne ke liye Meditation, Yoga aur dhyaan kare, Isse concentration badhaane aur tension door karne mein madad milti hain.
6. Bahut jyada tel masale wala khana aur baked food na khaye. Khane ko sahi temperature mein pakaye. Sabziyo ko jyada waqt tak pakane se sabziyo ke poshak tatv khatm ho jate hain. Saath hi oven ka istemal karte waqt temperature ka khas khyaal rakhe. Khane ko hamesha dhak kar rakhe aur fresh khana khaye.
7. Agar aap 45 ki umar paar kar chuke hain toh apna routine check up karwaate rahe. Agar koi doctor aapko medicine khane ki salah deta hain, to usay rojana khaye. Nature ke kareeb rahne ka time nikaale. Baccho ke saath khele, paaltu janwaro ke saath daude aur parivaar ke saath halke fulke andaaz mein rahe.
8. Ghar ki safai ka khas dhyaan rakhe, specially toilet aur bathroom ki safaai ka. Paani ko kanhi bhi jama na hone de. Sink, Washbasin aadi jagaho par regular taur par saaf-safai karte rahe. Phenyls aur floor cleaner ka istemal kare. Khane ki kisi bhi cheez ko khula na chhode. Kacche aur Pake huye khane ko alag-alag rakhe. Khana pakane aur khane wale bartano ko acchi tarah se saaf kare. Fridge, Oven aadi ki hamesha saaf-safaai kare. Kabhi bhi geele bartan rack mein na rakhe, aur dibbo ko sukhaaye bina dhakkan na lagaye.
9. Apne aaram ya sone ke kamre ko saaf-suthra , hawadaar aur khula-khula rakhe. Chaadar, takiye, pardey aur bed sheets ko badalte rahe. Mattress ya gaddo ko bhi time to time dhoop mein rakhe aur safaai kare.
10. Khana pakane ke liye Unsaturated Vegetable oil (Jaise Soybean oil, sunflower oil, Olive oil) ka istemal kare. Khane mein sugar aur namak dono ka kam se kam istemal kare. Fastfood, Cold Drinks aur Artificial Sugar se bane juice ka istemal na kare. Hamesha koshish kare ki raat ka dinner 8 baje se pahle kar le aur dinner mein halka khana khaye.
Healthy rahne ke liye Top 10 Tips :-

Post a Comment