Header Ads

Moong daal khane ke fayde.

Moong ki daal khane ke fayde. Benefits of Moong dal in Hindi/Urdu. Moong ki daal  khichadi, Moong ke laddoo aadi khane se kya fayda hota hain.
Kya aap moong daal khane ke fayde ke baare mein janna chahte hain? Kya aapne search kiya hain Moong daal ke fayde ya Benefits of moong daal in Hindi/Urdu toh welcome to Hinglishpedia. Aaj hum aapko is faydemand daal ke guno ke baare mein batayenge.

Daalo ko hamesha se hi protein ka khazana mana jata raha hain. Sabhi daalo mein sabse acchi daal Moong daal hoti hain. Moong daal 2 tarah ki hoti hain Peeli aur Hari. Dhooli aur Chhili huyi moong daal peele rang ki hoti hain. Moong daal ko pakana bahut hi asaan hain, saath hi yeh khane mein bahut halki hoti hain. Moong daal Vegetarian logo ki favourite dish mein se ek hoti hain.

Moong daal mein 50% tak Protein, 20% Carbohydrate, 48% Fiber, 1% Sodium aur kai kism ke Vitamins, Phosphorus aur Minerals ka khazan liye hoti hain, Jo hame kai saari bimariyo se bachaye rakhte hain. Daal ke saath saath aap iska soup bhi pee sakte hain. Bimar logo ke liye peeli moong daal bahut hi faydemand hoti hain. India mein ise jyadatar roti aur chawal ke saath khaya jata hain.

To chaliye jante hain ki Moong daal khane ke kya kya fayde hote hain. Benefits of Moong daal in Hindi/Urdu.

Moong daal ke fayde :-


• Wazan kam karne mein madadgar :- Ek katori pakayi hui moong daal mein 100 se bhi kam calorie payi jati hain. Potassium, Calcium aur Vitamin B Complex se bharpoor is daal mein Fat na ke barabar hota hain. Ise khane baad pet bhara-bhara rahta hain aur lambe waqt tak bhookh nahi lagti hain. Raat mein roti ke saath moong daal khaye, Jisse aapko bharpoor matra mein nutrients milenge. Isse wajan asaani se kam karne mein madad milti hain.

• Pet ke liye faydemand :- Moong ki daal easy to digest mani jati hain, Yani ki yeh pachne mein kafi asaan hoti hain. Kabz ki samsya se agar aap preshan rahte hain toh Moong daal ki khichadi ko jaroor khaye. Moong ki daal khane se pet sahi rahta hain. Peeli moong daal mein protein, Iron aur Fiber bahut hi acchi matra mein paya jata hain. Dusre daalo ke mukable Moong ki daal asaani se pach jati hain.

• Skin ke liye faydemand :- Moong daal ko khane se aap skin cancer jaisi khatarnaak bimari se bach sakte hain. Jab aap Sun rays ya phir pollution ke contact mein aate hain toh skin mein skin mein free radicals daakhil ho jate hain. Isse skin ko nuksaan pahuchta hain. Moong daal Antioxidant se bharpoor hota hain, Jo Free radicals se ladta hain aur aapki skin ko Cancer hone se bachata hain.

• Blood pressure control mein rakhe :- Moong daal khane se blood pressure control mein rahta hain. Yeh sodium ke asar ko kam karti hain, Jisse blood pressure badhta nahi hain. Heart patient ko moong ki daal jaroor khani chahiye.

• Cholesterol kam kare :- Moong daal mein paya jane wala Fiber Body ke faltu cholesterol ko kam karta hain. Isliye agar aap apna Cholesterol level kam karna chahte hain toh moong daal ko apni diet mein jaroor shamil kare.

• Kamjori ka ilaj :- Moong ki daal khane se sharir ko takat milti hain. Bimar logo ko moong ki daal khane ki salah di jati hain. Typhoid hone par Moong ki daal khane se patient ko bahut aaraam milta hain. Agar aapke sharir mein Iron ki kami ho gyi ho, toh bhi apni diet mein moong ki daal ko jaroor shamil kare. Bimari mein is daal ka sewan karna faydemand hota hain.

• Paseena khatm kare ;- Moong ki daal ka powder paani mein mila maalish karne se zyada paseena aane ki problem door hoti hain. Iske liye daal ko halka garm karke pees le. Phir is powder mein paani mila kar lep ki tarah pure body par massage kare. Is lep ko lagane se zyada paseena aane ki problem se chhutkara milta hain.

• Baccho ke liye faydemand :- Isme mauzood tatv baccho se lekar bado sabhi ke liye healthful hote hain. Acchi sehat ke saath-saath yeh baccho mein vikas se related jaroori nutrients ki kami ko pura karta hain. Isliye baccho ko moong ki daal jaroor khilaye.

• Daad-khaj, khujali ke liye :- Chhilke wali moong daal ko pees kar iska lep karne se daad-khaj, khujali ki problems se chutkara milta hain.

• Pregnant woman ke liye faydemand :- Garbhvati mahilaon ke liye moong daal bahut hi faydemand hoti hain. Yeh na sirf pregnant ladies ke liye faydemand hain, balki unke hone wale bacche ke liye bhi faydemand hoti hain. Pregnant mahila ko hafte mein kam se kam 3 din Moong ki daal ka sewan jaroor karna chahiye.