Header Ads

Pairo mein zyada paseena aane ki problem se nijaat paane ke tarike.

Pairo se zyada paseena aane ka ilaj. Tips for Sweaty feet in Hindi/Urdu.
Garmi ki wajah se pairo mein paseena aana ek aam baat hain, Is wajah se pairo mein infection hone ke saath saath badboo bhi aane lagti hain. Jin logo ko haatho mein paseena bahut zyada aata hain, unke pairo mein bhi bahut zyada paseena aata hain. Jyada paseena aana ek tarah ki bimari hi hoti hain, Jisse infection ho sakta hain.

Pair se zyada paseena aane se badboo aane lagti hain, Jiski wajah se kai baar aapko dusro se saamne sharminda bhi hona padta hain. Bahut zyada paseena aane ki kai wajah hoti hain jaise Hypertension, Low BP aur Tension aadi. Pairo ke talwe aur hatheliyo mein paseena aane se roka ja sakta hain. Bas iske liye aapko kuch gharelu upay aur tariko ko apnane ki jaroorat hain.

Aaiye jante hain Pairo mein zyada paseena aane ki problem ko door karne ke upay aur tarike. (Tips for get rid from foot sweat in Hindi/Urdu.) :-

• Pedicure karwaye :- Pairo se paseena door karne ke liye, pairo ko hafte mein 2 se 3 baar pedicure karwana chahiye. Chahe toh aap garm paan mein tea tree oil mila par usme aap apne pairo ko duboye. Adrak aur Nimbu ke chote-chote slices kaat le aur phir iska paste banaye. Is paste ko pairo par lagakar 10 minutes tak massage karne ke baad paani se dho le. Aisa hafte mein 3 baar jaroor kare. Isse aap pairo mein jyada paseena aane ki shikayat ko khatm kar sakte hain.

• Garmiyo mein Shoes ki jagah chappal pahle :- Hamesha hi Cotton Juraab pahne aur apne mozo ko har dusre din baar dhoye. Saath hi dusre din baad apne shoes ko bhi change karte rahe. Pahne gye jooto ko suraj ki roshini mein kuch ghanto tak rakhe, Jisse shoes mein panap rahe bacteria ko khatm karne mein asaani hogi. Pairo ko paseene se bachaane ke liye aap Shoes ki jagah Sandel ya chappal pahne.

• Fitkari ka istemal :- Pairo ko acchi tarah se saaf kare. Jab bhi baahar se ghar par aaye toh pairo ko kisi acche Antibacterial saabun se dhoye. Isse pair acchi tarah se saaf ho jate hain aur paseena bhi door ho jata hain. Fitkari ka upyog aap is samsya mein kar sakte hain. Ek chammach Fitkari powder ko ek cup gungune paani mein milaye aur is paani se pairo ko dho kar 15-20 minutes tak pairo ko aisa hi rahne de. Phir is par Fitkari ka baarik peesa hua powder daalkar shoes ko pahan le.

• Namak ke paani se pairo ko dhoye :- Pair mein infection na ho iske liye pairo ko saaf rakhna bahut hi jaroori hain. Paseene ke jariye bacteria paida hote hain, Jisse skin aur foot infection hone ka khatra badh jata hain. Ek tub mein gungune paani mein 5-7 chammach namak daal kar pairo ko aadhe ghante tak dubo kar rakhe. Phir pairo ko namak wale paani se bahar nikaalne ke baad turant na pochhe, balki inhe sookhne de. Phir moze pahne. Namak wala paani skin ko dry banata hain aur paseena aane se rokne mein madad karta hain.

• Iontophoresis Treatment :- Iontophoresis treatment ek aisi new technology hain, Jisme tub mein paani bhar kar ek machine ke jariye charge karke paani ke positive aur negative ions ko activate kar diya jata hain. Phir usme kuch time ke liye haath-pairo ko duboya jata hain, jisse sweat gland ki activity kam ho jati hain.

• Pumice stone ka istemal :- Paanv ki hard skin ko saaf kare. Hard ho chuki skin, dead skin hoti hain jise ragad ka nikaal dena chahiye. Jyada paseena aane se dead skin mein bacteria panap sakte hain, Isliye har din nahate waqt apne pairo ko ragadna chahiye. Pumice stone ka istemal karke aap apne aidiyo aur paanv ko clean kar sakte hain.

• Surgical Spirit ka istemal :- Cotton ball le kar usay surgical spirit mein duboye aur phir ise pairo ko pocchiye. Lekin pairo par lagane se pahle ek baar ise test karle. Agar iske istemal se aapko koi jalan mahsoos nahi hoti hain toh aap ise easily apply kar sakte hain. Ise pairo ke harek kone tak lagaye, Jisse foot infection se bacha ja sakta hain.