Pet dard door karne wale upyogi gharelu nuskhe aur upay.
Pet dard hona ek aam baat hain. Pet dard hone ki kai wajah ho sakti hain, Lekin Stomach pain jyadatar food ke sahi tarah se digest na hone par zyada hota hain. Pet mein kisi bhi tarah ke pain hone par garm paani ki thaili se sikaayi karne par aaraam milta hain. Agar aapko hamesha pet dard ka saamna karna padta hain, toh medicine lene ki bajaye gharelu nuskhe aur upay jaroor ajmaye, Kyonki stomach Pain se relief paane ke liye zyada dawaai khana aapke sharir ke liye nuksandayak saabit ho sakta hain. Aaiye jante hain Pet dard se chhutkara dilaane wale kuch upyogi gharelu nuskhe aur upay ke baare mein. Agar aap apach aur Kabz ki wajah se pet dard se peedit hain to jaroor aapko in Home remedies ko apnana chahiye.
1. Sukhi Adrak (Dry ginger) ko mooh mein rakhkar choosne se bhi pet dard se araam milta hain.
2. Bina doodh wali chai (Tea without Milk) ko peene se bhi pet dard se rahat milti hain.
3. Anaar bhi pet dard ke liye accha ilaj hain. Anaar ke beejo ko Namak aur Kali mirch ke saath mila kar din mein 2 baar lene se pet dard door hota hain.
4. Pet dard door karne ke liye aap 1 chammach Adrak ke ras mein thoda Shahad mila kar piye, Isse pet dard mein kafi aaram milta hain.
5. Jeere ko bhoonkar chabane se bhi pet dard kam hota hain.
6. Agar aapko pet dard hone ke saath saath jalan bhi ho rahi ho toh Paani mein thoda sa Meetha soda (baking soda) daal kar peene se aapko fayda milega.
7. Adrak ko baarik kaat kar paani mein ubaale aur phir is paani ko piye. Kabz ya gas ki wajah se hone wale pet dard mein yeh jabardast fayda pahuchata hain.
8. Khana khane ke baad Elaichi ke 3-4 daane chaba kar Nimbu paani peene se bhi pet dard door ho jata hain.
9. Hing ko paani mein gala kar pet par lagane se bhi pet dard mein aaraam milta hain.
10. Thande paani mein aadha chammach haldi aur aadha chammach Namak mila kar peene se bhi pet dard se rahat milti hain.
11. Pet dard ko door karne ke liye aap gungune paani mein nimbu ka ras mila kar piye, Isse pet dard door kiya ja sakta hain.
12. 10 gram saunf ko raat bhar ek glass paani mein bhigoye. Paani ko chhankar subah khali pet piye, Isse aapko pet se judi takhleefo se chhutkara milega.
13. Pudine ki pattiyo ko paani mein ubaale aur phir is paani ko chhankar peene se pet dard mein fayda hota hain.
14. Ajwain ko tawey par senk le aur phir iska powder bana le. Is churan ki aadha chammach matra phaanke aur phir thanda paani pee le. Pet dard turant door ho jayega.
15. Aadhaa chammach Nimbu ka ras aur aadha chammach Adrak ka ras dono ko milaye aur usme thoda sa kala namak milaye. Rojana khana khane se pahle isko le. Isse bhookh khool kar lagti hain aur pet dard bhi door ho jata hain.
16. Bhoona hua jeera, Kali Mirch, Saunth, Lahsun, Dhaniya, Hing, Sukha Pudina ke patte, Sab barabar matra mein lekar pees le. Ab isme thoda sa kala namak milaye. Khana khane ke baad is mixture ka 1 chammach matra garm paani ke saath le. Pet dard mein kafi fayda hoga.
17. Ajwain ke churan mein Kala namak mila kar garm paani ke saath lene se bhi pet ki problems se chhutkara milta hain.
18. Nimbu ke ras mein Kala namak, Jeera, Ajwain powder mila kar din mein 3 baar peene se pet dard mein aaram milta hain.
Pet dard door karne wale gharelu nuskhe aur upay (Home remedies for Stomach pain in Hindi/Urdu.) :-

Post a Comment