Pregnancy period mein in baato ka khyaal rakhna chahiye.
Kisi bhi mahila ke liye maa banna bahut hi khushiyo bhara hota hain. Pregnancy period mein maa ki sehat ka asar hone wale bacche par bhi padta hain. Isliye in dino pregnant lady ko apni sehat ka khas khyaal rakhna chahiye. Khane peene ke alawa aur bhi kai saari aisi baatein hain jo grabh mein pal rahe bacche par apna asar daalti hain. Aaj hum janenge aisi baatein jo pregnancy mein har maa ke liye jaroori hain.
Pregnancy mein in baato ka rakhe dhyaan :-
• Pregnancy period mein Calorie aur nutrition diet lena bahut hi jaroori hain, Jaise Anaaz, Phal, Sabziya, Bina Charbi wala meat, Kam fat wala doodh, Nariyal paani aadi.
• Pregnancy period mein halke aur dheele kapde pahne. Kisi bhi tarah ka physical jokhim se bhara hua kaam na kare, Saath hi bhaari saamaan uthaane se bhi bachna chahiye.
• Pregnancy ke waqt har lady ko blood group khas karke R. H. Factor ka test karwana chahiye. Iske alawa time to time Hemoglobin ki jaanch Doctor ki salah ke mutabik karwate rahe.
• Pregnancy period ke dauran koi bhi medicine bina doctor ki salah se kabhi nahi khani chahiye. Pregnancy ke jaroori tike lagwaye aur Iron ki goliya khaye. Chehre, Haath-pair mein bahut jyada sujan, tez seerdard, aankho se dhoondla dikhaayi dena aur peshaab karne mein problem hone par inhe nazar-andaaz na kare, Yeh khatre ke symptom ho sakte hain. Turant doctor se consult kare.
• Pregnancy ke shuruvaati dino mein jee ghabrana, Ulti hona, Blood Pressure jaisi problems ho sakti hain, Aise mein doctor se check up jaroor karwaye. Pregnancy ke dauran pet mein tez dard aur Vagina se khoon nikalne lagta hain, Ise seriously le aur doctor ko turant iske baare mein bataye.
• Agar aap kisi bimari se pahle se hi shikar hain jaise Diabetes, High Blood pressure aadi toh Pregnancy period mein regularly medicine lekar in bimariyo ko control mein rakhe. Iske liye aap apne doctor ki salah jaroor le.
• Oily food kam se kam khaye. Pregnancy mein Cigarette aur Sharab jaisi buri cheezo se door rahe. Is waqt aap Juice, Salad, Soup jaise liquid cheezo ka jyada se jyada sewan kare.
• Pregnancy mein jyada matra mein Folic Acid, Iron, Calcium, Vitamin A aur B12 wali cheezo ko khaye. Pregnancy period mein khoob paani peena chahiye.
Post a Comment