Header Ads

Ankoorit moong ki daal khane ke fayde. (Benefits of Sprout Moong dal in Hindi/Urdu.)

Ankoorit Moong khane ke fayde. Benefits of Sprout Moong in Hindi/Urdu.
Yeh jaroori nahi ki jo cheez khane mein tasty ho, vah health ke liye bhi acchi hogi. Aksar aisa dekha jata hain jo cheez taste mein acchi nahi hoti hain, vah apne healthy guno ki wajah se jani jati hain. Aaj hum aapko Ankoorit Moong daal ka salad khane ke fayde ke baare mein batayenge. Benefits of Moong Sprout in Hindi/Urdu.

Daalo mein sabse best daal moong ki daal ko mana jata hain. Moong ki daal mein Vitamin A, B, C, D aur E ki bharpoor matra payi jati hain. Saath hi yeh Potassium, Iron, Calcium se bhi bhara hua hota hain.

You may also like :- Moong ki daal khane ke fayde.

Is daal mein calorie bhi bahut kam hoti hain. To Ankoorit Moong daal ka salad apni diet mein jaroor shamil kare. Sprout Moong khane se body mein total 30 Calorie aur 1 gram Fat hi pahuchta hain.

Ankoorit Moong daal mein Copper, Phosphorus, Riboflavin, Vitamin C, Fiber, Magnesium, Iron, Vitamin B-6, Niacin, Thiamine aur Protein paya jata hain. Jante hain Moong ki daal ke sprout khane se kya kya fayde aur benefits hote hain.

Moong ki daal ke sprout khane ke fayde :-


1. Kabz se rahat dilaye :- Moong ki daal ke sprout mein Fiber bahut jyada matra mein paya jata hain. Jisse digestion system durust rahta hain aur Kabz jaisi samsya door hoti hain.

2. Body ko detox kare :- Ankoorit Moong dal ko khane se body ke toxins baahar nikal jate hain. Iske sewan se sharir se zehreele tatv bahar nikal jate hain, Jisse aapki skin glow karne lagti hain.

3. Bimariyo se ladne mein madad karta hain :- Moong ki dal ke sprout mein oligosaccharides aur Polyphenols paye jate hain. Yeh dono compound khatarnaak bimariyo se ladne mein aapki madad karte hain. Cancer ke mareez bhi ankoorit moong daal ko kha sakte hain. 

4. Peptides se bharpooor :- Moong daal sprout mein Peptides hota hain jo BP ko balance karta hain aur body ko fit banaye rakhne mein madad karta hain. 

5.  Balanced diet :- Agar aap vegetarian hain to Moong ki daal ke sprout ko jaroor khaye. Yeh body ke liye jaroori nutrients ki supply karta hain aur body ko strong banata hain. Isse accha Vegetarian food koi aur nahi hain. Yeh asaani se digest bhi ho jata hain. 

6. Diabetes mein faydemand :- Moong ki daal ke sprout mein Glucose level bahut kam hota hain, Isliye ise sugar ke mareez bhi kha sakte hain. 

7. Young banaye rakhe :- Moong ki daal ke sprout mein citerogen hota hain jo Collagen aur elastin  ko banaye rakhta hain. Jisse umar ka asar jaldi se chehre par dikhaayi nahi deta hain. 

8. Happy long life jeene ke liye :- Is baat ko yunhi na samjhe, Moong ki daal ke sprout khane se digestion system sahi bana rahta hain, Jiski wajah se aapko pet se reated  problems nahi  hoti hain aur aap ek happy life jeete hain. 

9. Infection se bachaye :- Moong ki daal mein aise gun paye jate hain, Jo body ki immunity ko badhate hain aur usay bimariyo se ladne mein madad karte hain. Isme Anti-Inflammatory gun hota hain jo body ki Anti-Microbial aur Immunity ko boost karta hain.