Bhookh badhaane wale gharelu nuskhe aur tips.
Unhealthy lifestyle aur khan-pan ke chalte aapko acidity aur kabz ki problem ho jati hain. Is wajah se aapko bhookh lagna dheere-dheere kam ho jata hain. Sharir mein bhookh na lagne ki wajah se khana khane ka mann nahi karta hain aur aap khane ko sahi tarah se nahi khate hain. Khana sahi na khane se aapki body ko nutrients ki supply nahi ho pati hain aur aapko kai saari bimariya hone ka khatra badh jata hain. Agar aap bhookh na lagne ya phir kam bhookh lagne ki problem hain to aaj hum aapko bhookh badhaane wale kuch upay aur tips ke baare mein batayenge, jinhe follow karne aap apni bhookh ko badha sakte hain aur bhookh na lagne ki samsya se nijat pa sakte hain.
Bhookh na lagne ki problem ko door karne ke gharelu upay aur tips :-
1) Khana khane ke baad thoda sa Anaardana ya uske beejo ke churan mein Kala Namak aur thodi si mishri pees kar paani ke saath ek chammach khane se bhookh badhti hain.
2) Bhojan karne ke baad Vajraasan mein kuch der tak baithna bhi faydemand hota hain. Isse khane ko jaldi digest hone mein asaani hoti hain aur gas ki problem se nijat milta hain.
3) Khana khane ke 1 ghanta pahle ek chammach Panchsakar churan garm paani ke sath lene se bhookh khul kar lagti hain.
4) Hara Dhaniya mein Hari Mirch, Tamatar, Adrak, Hara pudina, Jeera, Hing, Namak aur Kala namak daal kar banayi gyi chutney ko khane se tez bhookh lagti hain.
5) Khana khane ke baad Ajwain ka churan thode se gud ke saath kha kar gunguna paani peene se khana asaani se hajam ho jata hain aur sahi time par aapko bhookh lagti hain aur khana khane ka mann karta hain.
6) Ek glass Chhaachh mein Kala namak, Saada namak, Peesa Jeera mila kar peene se digestion process fast banta hain aur bhojan mein aruchi door hoti hain.
7) Khana khane ke baad ek chammach Hingvashtak Churan khane se pachan kriya theek hoti hain aur bhookh lagne lagti hain.
8) Raat ko sone se pahle 3 hissa Amla, 2 Hissa Harad aur 1 Hissa Baheda ke churan ka 1 chammach 1 glass gungune paani se lene se subah pet saaf ho jata hain aur bhookh khul kar lagti hain.

Post a Comment