Header Ads

Dusre Bank ke ATM se Paisa nikaalne par in Baaton ka rakhe khyaal.

Dusre Bank Ke ATM se paisa nikaalte waqt in baato ka rakhe khyaal. Tips for Withdrawn Money from Another Bank's ATM in Hindi.
Kai baar hame ATM se paisa nikaalne ke liye dusre bank ke ATM ka bhi use karna padta hain. Dusre Bank ka ATM Use karte time aapko kuch baaton ka khyaal rakhna jaroori hain. Agar aap aisa nahi karenge to aapko money loss ke saath saath mental problem ka saamna bhi karna pad sakta hain. Aaj hum aapko paise ke nuksan aur maansik preshani se bachne ke liye kuch tips bata rahe hain. Jinhe apna kar aap in sabhi problems se bach sakte hain.

• Extra Paisa Kate toh complaint kare :- Kai baar dusre bank ke ATM se aap jab money withdraw karte hain toh kuch bank extra rupees cut kar lete hain. Dusre Bank ke ATM se transaction ke dauran agar ATM Machine se paisa nahi nikla aur aapke account se paisa cut gya ho toh aapko apne Bank aur Jis Bank ka ATM aapne use kiya hain, dono mein hi Complaint karni chahiye. Is complain mein ATM ID ka reference jaroor de.

• Transaction Slip sambhaal kar rakhni chahiye :- Agar aap Other Bank ke ATM ka use karte hain toh Transaction ke baad nikalne wali receipt ya slip ko sambhaal kar rakhe. ATM Machine ki kharabi ke baad kai baar aisa dekhne ko milta hain ki Paisa nahi nikalta hain, Lekin Account se paisa cut ho jata hain. Aise mein Slip ko sambhaal kar rakhna bahut hi jaroori hain, Agar aapke paas Slip nahi hogi toh aapke paas koi proof bhi nahi hoga aur aapko preshaniyo ka saamna karna padega.

• Nearly branch mein change karwaye kate-phate Note :- Agar aap dusre Bank ke ATM se paisa nikaal rahe hain aur kate-phate note nikalte hain toh aap oos bank ki nazdiki branch mein jakar note ko change karwaye. Branch mein mauzood Clerk aapse note ko change karne mein aanakaani kar sakta hain, lekin jab aap usay Bank aur ATM ke Rules & Regulation yaad dilayenge toh vah asaani se aapka note badal dega. Ab lagbhag sabhi Bank Kate-phate Note badalne ki facility dete hain.

• Transaction mein Gadbadi ho toh FIR karwaye :- Agar aap dusre Bank ke ATM ka use kar rahe toh agar fraud ka shikaar ho gye hain, Toh sabse pahle Police ke paas jaye aur F.I.R. register karwaye. Aapko apne Bank aur Jis Bank ke ATM se transaction kiya hain dono mein galat ya fraud transaction ke baare mein complain kare. Is complain mein ATM ID ka reference jaroor dena chahiye. Iske base par Bank dusre Bank se CCTV footage manga kar dekhega aapki details kis tarah chori huyi aur aapke Account se kisne paise nikaale.