Energy drink peene ke 5 side-effects.
Aaj kal ki young generation energy drink ko bahut hi like kar rahi hain. Youth ka yeh manna hain ki energy drink peene se turant energy milti hain aur vah bina thake padhai aur dusre kaam asaani se kar lete hain. Ho sakta hain is baat mein sachchaai ho lekin Energy drink peene ke nuksan bhi hain. Energy drink ko peene se aapki health par bura asar padta hain. Ek research ki mane toh 18 saal se kam umar ke logo ke liye Energy drink se kafi jyada nuksan hota hain. Toh chaliye jante hain Energy drink peene ke 5 ahem nuksan ke baare mein.
• Caffeine par depend hona :- Yeh baat normal hain ki energy drink mein caffeine ki matra payi jati hain. Energy drink peene se pata nahi chalta hain ki hamari body mein caffeine ki kitni matra pahuch rahi hain. Ek baar agar body ko caffeine ki latt lag gyi toh dusri kai saari health problems start ho jati hain. Isliye energy drink ko nahi peena hi accha rahega.
• Sugar level ka badhna :- Energy drink mein bharpoor matra mein sugar mili huyi hoti hain. Ek drink mein lagbhag 13 Chammach Chini hoti hain jo body ke sugar level ko badha deti hain, jisse kai tarah ki bimariya hone ka khatra ho jata hain. Khas karke aapko diabetes ho sakti hain. Ise peene se aapko dehydration, immunity par bad effect, daanto ka kharab hona aadi preshaniyo ka saamna karna padta hain.
• Body parts par stress padna :- Energy drink ko peene se body ke sabhi parts par stress padta hain, Kyonki vah thak jaate hain aur unhe aaram nahi mil pata hain. Agar aap apni body ko healthy rakhna chahte hain toh energy drink ka sewan zyada na kare.
• Neend na aana :- Energy drink ko peene se energy zyada aa jati hain toh raat ko neend na aane ki problem bhi paida ho sakti hain. Sharir ko dimaag thak jate hain, lekin neend nahi aati hain, Jiski wajah se uljhan hoti hain. Jo log energy drink peete hain, unhe aksar aisi problem ko face karna padta hain.
• Mood par asar padta hain :- Researches yeh baat saaf ho chuki hain ki energy drink peene se aadmi ke mood par asar padta hain aur uska mood swing hota rahta hain. Ise peene se body mein feel good ya happy rakhne wale Serotonin hormones ki kami ho jati hain, jisse aadmi depression ka shikar bhi ho sakta hain ya phir uska mood ukhda-ukhda sa rahta hain.
Post a Comment